Tuesday, 29 July 2014
Monday, 28 July 2014
Saturday, 26 July 2014
Friday, 25 July 2014
Thursday, 24 July 2014
Wednesday, 23 July 2014
Tuesday, 22 July 2014
Monday, 21 July 2014
CHAHE ZULMAT MAIN RAHE,,,,
CHAHE ZULMAT MAIN RAHE CHAHE UJALON MAIN RAHE.
HUM TO BAS HAAR NAHIN MAANNE WALON MAIN RAHE.
MERI PARWAZ KI SARHAD NA KOI NAAP SAKA,
YE JO AFLAK HAIN SAB MERE KHAYALON MAIN RAHE.
KYA BATAUN MAIN TUMHEN APNE SAFAR KI RUDAAD,
JITNE SAHRA HAIN MERE PAUN KE CHHALON MAIN RAHE.
YE BHI ANDAZ NIRALA HAI KOI KYA JAANE,
BEKHUDI ISHQ KI BIKHRE HUWE BAALON MAIN RAHE.
APNE HI DIL SE KABHI POOCHH LE TANHAEE MAIN,
HUM JAWABON KI TARAH TERE SAWALON MAIN RAHE.
MAZHAB-E-ISHQ MAIN DHOONDA HAI KHUDA KO HUMNE,
HUM NA MASJID MAIN GAYE AUR NA SHIWALON MAIN RAHE.
AZMAT-E-ISHQ SHAHADAT NE LIKHI HAI UN PAR,
WO JO TAREEKH KE AURAQ HAWAALON MAIN RAHE.
SOOKHI ROTI PE BHI JAB SHUKR ADA HUMNE KIYA,
SAARI DUNIYA KE MAZE APNE NIWALON MAIN RAHE.
MOTABAR HO GAYE ALFAAZ WO DEEWANON KE,
JO KITAABON MAIN CHAPE HAIN YA RISAALON MAIN RAHE.
IBRAHIM ASHK.
HUM TO BAS HAAR NAHIN MAANNE WALON MAIN RAHE.
MERI PARWAZ KI SARHAD NA KOI NAAP SAKA,
YE JO AFLAK HAIN SAB MERE KHAYALON MAIN RAHE.
KYA BATAUN MAIN TUMHEN APNE SAFAR KI RUDAAD,
JITNE SAHRA HAIN MERE PAUN KE CHHALON MAIN RAHE.
YE BHI ANDAZ NIRALA HAI KOI KYA JAANE,
BEKHUDI ISHQ KI BIKHRE HUWE BAALON MAIN RAHE.
APNE HI DIL SE KABHI POOCHH LE TANHAEE MAIN,
HUM JAWABON KI TARAH TERE SAWALON MAIN RAHE.
MAZHAB-E-ISHQ MAIN DHOONDA HAI KHUDA KO HUMNE,
HUM NA MASJID MAIN GAYE AUR NA SHIWALON MAIN RAHE.
AZMAT-E-ISHQ SHAHADAT NE LIKHI HAI UN PAR,
WO JO TAREEKH KE AURAQ HAWAALON MAIN RAHE.
SOOKHI ROTI PE BHI JAB SHUKR ADA HUMNE KIYA,
SAARI DUNIYA KE MAZE APNE NIWALON MAIN RAHE.
MOTABAR HO GAYE ALFAAZ WO DEEWANON KE,
JO KITAABON MAIN CHAPE HAIN YA RISAALON MAIN RAHE.
IBRAHIM ASHK.
MILA THA AAJ BHI SHAITAN...
MILA THA AAJ BHI SHAITAN RASTE MAIN MUJHE,
BADE KHULOOS SE USSE NIBAT KE AAYA HOON.
IBRAHIM ASHK.,
Sunday, 20 July 2014
BIRTHDAY
AAJ MERA BIRTHDAY HAI SUBAH SE HI MUBARAKBAAD DENE WALON KA TANTA LAGA RAHA IS WAQT SHAM HONE AAEE HAI AUR AUR ABTAK DOSTON KE PYAR BHARE MESSEGE AA RAHE HAIN AAJ MALOOM HUWA KE AIK SHAIR KO CHAHNE WALE KIS QADAR BESHUMAAR LOG HOTE HAIN. JO USE BELOS MUHABBAT KARTE AUR DIL SE CHAHTE HAIN. IN SABKO MERI SHAIRI SE MUHABBAT HAI INKE SEENE MAIN JO MUHABBAT BHARA DIL DHADAKTA HAI USKI PYAAS MERE FUN YAANI MERY SHAAYRI SE BUJHTI HAI YE SAB HAZRAAT MERE KALAAM KO PADHKAR YA YOU TUBE PAR SUN KAR MUJHSE BEPANAAH PYAAR KARTE HAIN AUR YAHI MERA INSE RISHTA HAI. MAIN DUWA KARTA HUN KE ALLAH PAK PARWARDIGAAR IN SABKO HAMESHA KHUSH RAKHE AUR YE MERE KALAAM SE LUTF-ANDOZ HOTE RAHEN ,,,ALLAH HAFIZ,,,,,IBRAHIM ASHK.
Saturday, 19 July 2014
SARAPA AARZOO HOON....
MAIN SARAPA AARZOO HOON, AARZOO-E-NATAMAM,
MUJHKO HAR MANZIL SE AAGE KI KHABAR DETA HAI WO.
IBRAHIM ASHK.
[ Main apne Mehboob ki yaad main sar se paun tak aarzoo ban kar rah gaya hun, aisi aarzoo jo kabhi poori hi nahin hoti hai. kyunki main ishq ki aik manzil par pahunchta hun to mera mehboob kisi nai manzil se mujhe pukarne lagta hai aur yun meri aarzoo hamesha adhoori hi rahti hai. ]
CHAHTON KA IK SAFAR...
ZINDGI APNI MUSALSAL CHAHTON KA IK SAFAR ,
IS SAFAR MAIN BARHA MIL KAR BICHAD JATA HAI WO.
IBRAHIM ASHK.,
[ MUHABBAT ZINDGI MAIN AIK BAAR HI MAHIN HOTI HAI YE BAAR-BAAR HOTI HAI AUR HAR BAAR AIK NAYA MEHBOOB MIL KAR BICHAD JATA HAI. CHAHTON KA YE SAFAR YUNHI BADASTOOR CHALTA RAHTA HAI.]TERENAAM YE DUNIYA KAR DEN...
AB ZAMANE MAIN KISI CHEEZ KI KHWAHISH HI NAHIN,
LUT GAYE HUM TO TERE NAAM YE DUNIYA KAR DEN.
IBRAHIM ASHK.,
TUJHE TANHA KAR DEN...
YE DUWA HAI KE MILE SAATH UNHIN LOGON KA,
JO TERE SAATH RAHEN AUR TUJHE TANHA KAR DEN.
IBRAHIM ASHK.,
HUM WO MAJNOO HAIN...
HUM WO MAJNOO HAIN KE JISKO BHI WAFA SE DEKHEN,
"ASHK" IK PAL MAIN SARAPA USE LAILA KAR DEN.
IBRAHIM ASHK. ,
Friday, 18 July 2014
SAMUNDAR KO SAHRA KARDEN.
MERE AANSOO HAIN KUCHH AISE KE SAMUNDAR MAIN AGAR,
AANKH SE CHHALKEN TO TAPTA HUWA SAHRA KAR DEN.
IBRAHIM ASHK. ,
Pyaas ka Aalam...
AAJ WO PYAAS KA AALM HAI KE IS AALM MAIN,
AIK QATRA HUMEN MIL JAYE TO DARIYA KAR DEN.
IBRAHIM ASHK.,
Mitti se karen pyaar.....
TUM TO DAULAT KE PUJAARI HO HAMEN KYA JANO,
HUM TO MITTI SE KAREN PYAAR TO SONA KAR DEN.
IBRAHIM ASHK.
KHINCHA HAI DAAR PAR HUMKO...
HAR AIK SANS NE KHINCHA HAI DAAR PAR HUMKO,
HUM APNE DAUR KI PAIGHAMBARI BHI DEKH CHUKE.
IBRAHIM ASHK.,
Thursday, 17 July 2014
Naat aur Hamd
https://www.facebook.com/ibrahim.ashk/media_set?set=a.421658887918436.99538.100002229848823&type=3
ye hamd aur naat ki link hai
ye hamd aur naat ki link hai
MUSHKILON KE DIN ...
MUSHKILON KE DIN BHI KAT JATE HAIN AASANI KE SAATH,
AUR RAH JATI HAIN BATEN YAAD AANE KE LIYE..
IBRAHIM ASHK.,
PATTHAR KE LOG...
YE SANAM kHANA HAI RAHTE HAIN YAHAN PATTHAR KE LOG,
KISLIYE BAITHA HAI TOO DIL KI SUNANE KE LIYE.
IBRAHIM ASHK.,
DOORIYAN
KOO-E-JANA'N KA SAFAR, KAISA SAFAR HAI DOSTO,
JITNE HUM AAGE BADHE, UTNI BADHI HAIN DOORIYAN
IBRAHIM ASHK. ,
Majbooriyan...
ZINDGI KA YE CHALAN KAISA CHALAN HAI DOSTO,
AIK KHWAHISH KI TO LAKHON BADH GAEEN MAJBOORIYAN.
IBRAHIM ASHK,
Wednesday, 16 July 2014
TERI CHAHAT MAIN...
TERI CHAHAT MAIN SONA HO GAYA HAI,
WAGARNA DIL THA KIS QABIL MIRA.
Ibrahim Ashk.,
KHANABADOSH...
SHAHR KE IN JUNGALON MAIN HUM PHIRE KHANABADOSH,
GHAR MAIN RAH KAR BHI HUMEN KOEE NA APNA GHAR MILA.
Ibrahim Ashk.,
YE MUQADDAR THA...
USNE SHAYAD PHOOL PHENKA THA MERI JANIB MAGAR,
YE MUQADDAR THA KE WO BANKAR MUJHE PATTHAR LAGAA.
IBRAHIM ASHK.,
RASTA NA MILA...
CHALE TO HUMKO KAEE MANZILON NE GHER LIYA,
HUJOOM AISA LAGA THA KE RAASTA NA MILA.
Ibrahim Ashk.,
IK MOD PE...
MAIN TO BAITHA RAHA IK MOD PE SADIYAN GUZRIN,
MERE QADMON KO TARASTA RAHA RASTA KOEE.
Ibrahim Ashk.,
AIK DHUN...
KAHAN PE HUMKO THAHARNA THA YE BHI BHOOL GAYE,
HUM AIK DHUN MAIN HI AAGE NIKAL GAYE KITNE.
Ibrahim Ashk.,
Aik lamhe ki zindgi...
Hamen to aik bhi lamhe ki zindgi na mili,
Hamare baad ye mausam badal gaye kitne.
Ibrahim Ashk.,
MEHBOOB KE DEEDAR KE BAAD...
BAS AIK SHAMME-FAROZA'N KO MAINE DEKHA THA,
PHIR USKE BAAD DIYE DIL MAIN JAL GAYE KITNE.
Ibrahim Ashk.
[ maine apne mehboob ka deedar kya kiya aisa laga jaise wo aik jalti huee shama ki tarah hai. use dekh kar aisa mehsoos huwa ke mere dil main sainkdon chiragh jalne lage hain. mera dil roshni se bhar gaya hai .],
DOSTI NE LOOT LIYA....
YAAD AAYA KE TOO BHI DUSHMAN HAI,
JAB TERI DOSTI NE LOOT LIYA .
Ibrahim Ashk.,
DOSTI
DUSHMANI USNE KAEE SAAL RAKHI HAI MUJH SE,
WO MIRA DOST BANA, ITNA PARAKH KAR MUJHKO.
Ibrahim Ashk.,
Tuesday, 15 July 2014
MAIN BHI KAISA AAINA HUN,,,,
MAIN BHI KAISA AAINA HUN, AAINA-DAR-AAINA,
DOOR TAK CHEHRA-BA-CHEHRA, BAS NAZAR AATA HAI WO.
Ibrahim Ashk.
[main apne mehboob ke ishq main sar se paun tak aaine ke andar aaina ban kar rah gaya hun jisse sainkdon aaine ban gaye hain aur un main mere mehboob ke saindon chehre dikhai dete hain. ishq ki inteha aur maani aafrini ka bemisaal namuna. aur aik aisa khayal jiski urdu shairi main doosri misaal dhoonde se bhi nahin milegi. ],
KHWAB KYA HAI,,,
KHWAB KYA HAI IK KHANDAR HAI, YE KHANDAR KITNA HASEE'N,
IS KHANDAR MAIN, SAIR KARNE KE LIYE AATA HAI WO.
IBRAHIM ASHK.
[khwab aik khandar ki tarah hai , khandar khoobsoorat nahin hote lekin ye khwab ka khandar isliye khoobsoorat ban pada hai ke is khwab ke khandar main mera mehboob sair karne ke liye aata hai. gehri manwiyat wala shaer hai.],
FOR FILISTEEN
Main apne tamam sawa crore hindustani bhaiyo ke saath Gaza main filisteeni awam aur bachchon par hone wale zulm-o-situm ki bharpoor mazammat karta hoon aur tamam aalmi biradari se yahudiyon ke khilaf action lene ki darkhwast karta hoon. Ibrahim Ashk, Film lyricist And poet, India.
Monday, 14 July 2014
FILISTEENI BACHCHON KA MARSIYA
YE LASHEN ,,,
FILISTEENI BACHCHON KI LASHEN,
JO AB MAUT KI GOD MAIN SO RAHE HAIN.
INHEN KYA PATA THA INHEN KYA KHABAR THI,
KE JANNAT KE JAISE GHARONDON PE INKE,
WO QATIL YAHUDI,WO WAHSHI DARINDE,
KARENGE WO BARISH BAMON KI YAHAN PAR,
JAHA'N AMN HI AMN CHARON TARAF THA.
JAHA'N NANHE HAATHON MAIN LEKAR KHILONE
KOEE APNE AANGAN MAIN BAITHA HUWA THA
KOEE GALERY MAIN CHAHAKNE LAGA THA
IDHAR RAQS MAIN BACHCHIYAN JHOOMTI THIN
WO HATHON SE JAISE FALAK CHHOO RAHI THIN
YE SAB JAISE MASTI MAIN DOOBE HUWE THE
YE GUDIYA, YE HATHI, YE GHODE, YE BANDAR,
YE SAARE KHILONE JO BEJAAN SE HAIN,
KE BACHCHON KE HATHON MAIN SAB JEE UTHE THE
AJAB IK KHUSHI KA SAMA'N THA YAHAN PAR
FARISHTON KI MEHFIL SAJI THI ZAMEE'N PAR.
WO QATIL YAHUDI WO WAHSHI DARINDE,
YE BACHCHON KI KHUSHIYAN NAHIN DEKH PAYE.
YAHAN BHEDIYON KI TARAH MAUT BANKAR JO AAYE
YE LASHEN,,, FILISTEEN BACHCHON KI LASHEN
JO DUNIYA KE MULKON SE YE KAH RAHI HAIN
KE AYE RAHNUMAO, KE AYE SABARAHO,
YE DAHSHAT TUMHEN KYUN NAHIN DIKH RAHI HAI ?
TUMHARI ZABA'N PAR KYUN TALE PADE HAIN ?
TARAFDAAR TUM BHI HO SHAITANIYAT KE,
HIMAYAT MAIN KITNE HAIN INSANIYAT KE ???
Sunday, 13 July 2014
Saturday, 12 July 2014
Duniya mujhe sanbhal ke rakh hi nahin saki,
Aflak tha zameen pe barbad ho gaya.
ibrahim ashk.
دنیا مجھے سنبھال کے رکھ ہی نہیں سکی
افلاک تھا زمین پہ برباد ہو گیا
ابراہیم اشک
[is duniya main itna saliqa nahin tha ke wo mujhe theek se sanbhal kar rakh sakti. meri hasti to aik aasman ki tarah thi jo zameen par aakr barbad ho gaya ],
Lipti hai gard-e-raah-e-safar
Lipti hai gard-e-raah-e-safar mere paun se,
har zarra jaise dard ki fariyaad ho gaya.
Ibrahim Ashk.
[Main jab apne watan se pardes ke liye nikla to mere raste ki gard jo mujhse muhabbat karti thi mere paun se lipat kar fariyad karne lagi ke main pardes na jaun. ] ,
لپٹی ہے گرد راہ سفر میرے پاؤں سے ،
ہر ذرّہ جیسے درد کی فریاد ہو گیا
ابراہیم اشک
thokar Jana"n
Paun bahke hain to kis baat ki hairani hai,
Dhadkanen ishq main kha jati hain thokar jana'n.
Ibrahim Ashk.,
GUZRA DIL-E-TABAH SE...
GUZRA DIL-E-TABAAH SE KAISA YE KARWA'N,
AB JIS TARAF BHI DEKHIYE GARD-O-GHUBAAR HAI.
Ibrahim Ashk.,
Apna chehra dekhne ko...
Apna chehra dekhne ko phir rahe hain shahr main,
Koee to apne liye bhi aaina ho jayega. --ibrahim ashk,
WO AIK LAMHA..
Wo aik lamha tarasti hai zindgi jisko,
Agar mile to sanbhale nahin sanbhalta hai.
Ibrahim Ashk.,
ALL INDIYA MUSHAIRA BHADRAK [ODISA]
YADGAR-E-FAIZ-O-FIRAQ KI YE MEHFIL JAB APNE SHABAB PAR AAEE TO IBRAHIM ASHK KO ANAUNCER ANWAR JALALPURI NE DAWAT-E-KALAM DI AUR JAB IBRAHIM ASHK NE APNA KALAM SUNANA SHURU KIYA TO MUSHAIRE MAIN MAUJOOD HAZARON SUNNE WALE UNHEN BARBAR APNI DAD SE NAWAZTE RAHE. MAZE KI BAAT YE HAI KE IS MUSHAIRE MAIN RAHAT INDORI PAHLE PADH CHUKE THE LEKIN WO JAM NAHIN PAYE THE. YE MUSHAIRA IBRAHIM ASHK NE LOOT LIYA THA UNKE GALE MAIN TO LOGON NE HAAR DAALE HI PHOOLON KI AISI BARISH KI KE SARA STAGE PHOOLON SE BHAR GAYA AUR MUSHAIRE KE SADR BEKAL UTSAHI NE MASNAD-E-SADARAT SE UTHKAR IBRAHIM ASHK KO GALE SE LAGA LIYA. ISKA VIDEO YOU TUBE PAR MAUJOOD HAI.
MAA KI GREATNESS...
MAA JAISI MUHABBAT , NA MILEGI YARO.
MAA JAISI INAYAT , NA MILEGI YARO,
MIL JAYEGI HAR CHEEZ JAHA'N MAIN LEKIN,
MAA JAISI HAQEEQAT, NA MILEGI YARO.
IBRAHIM ASHK.
[ IS RUBAEE KI KHOOBI YE HAI KE ISMEN AIK KHAS TAJRUBA BHI HAI YAANI ISME SIRF QAFIYE KA HI AIK LAFZ BADALTA HAI. ,YAANI MUHABBAT, INAYAT AUR HAQEEQAT BAQI POORI LINE AS IT IS HI RAHTI HAI.]
Ude to aasma'n na tha,,,
Ude to aasma'n na tha, gire to ye zamee'n na thi,
Hadon se is qadar badhe, ke phir na kuchh pata mila.
Ibrahim Ashk.,
Gham-e-hayat ka dariya....
Gham-e-hayat ka dariya hai is qadar gehra,
Hazaron baar yahan doob kar ubharna hai.
Ibrahim Ashk.,
Friday, 11 July 2014
kaee manzilon ne gher liya
Chale to humko kaee manzilon ne gher liya,
hujoom aisa laga tha ke rasta na mila.
ibrahim ashk,
Uske badan ka loch,,,
Uske badan ka loch tha dariya ki mauj main,
Sahil se main bahaw ko takta hi rah gaya.
ibrahim ashk.,
TAKSALI ZABAN
SHARABON SE BHARE PYALE MUJHE TAKNE KI AADAT HAI,
BADAN BHEEGA,RASEELE HONT, NAYNA MADBHARE RAKHIYO.
IBRAHIM ASHK.
[ "meer" ne dilli ki taksali zabaan ka khoob istemaal kiya hai, maine bhi kabhi kabhi munh ka maza badalne ke liye is zabaan ka istemal kiya hai unhin ghazlon main se aik shaer yahan pesh kar raha hun jismen bharpoor manviyat hai aur agar is shaer ko ghaur se padha jaye to bada lutf dega, mafhoom kuchh yun hai ke aashiq apne mahboob se kah raha hai ke mujhe sharabon se bhare pyale peene se zyada takne ka shauq hai isliye tum sharab ke pyale ki tarah apne badan ko bheega huwa, hont ko raseele aur aankhon ko hamesha madbhari rakhna take main in sabko badastoor takta rahoon. },
Tejhe hum jeet len,,,
TUJHE HUM JEET LEN IS ZINDGI MAIN,
PHIR USKE BAAD APNI HAAR LIKH DEN.
IBRAHIM ASHK.,
MAA--HINDI
माँ
ज़मीं बनाई है जिसने फ़लक बनाया है,
कि मेह्रो-माह की तख़लीक जिसने की यारो,
वो छुप के बैठ गया माँ के एक परदे में,
सलाम उसपे कि जो माँ है सारे आलम की
है जिसके कोख से तख़लीक नस्ल-ए-आदम की।
ख़ुदा की ज़ात ने ख़ालिक जिसे बनाया है।
उसीने क़ौम के पैग़म्बरों को जन्म दिया,
उसी से दीन है ईमान और मज़हब है,
उसी के फ़ैज़ से सारा जहाँ मुहज़्ज़ब है।
उसी की ज़ुल्फ़ का साया है आसमाँ की तरह,
वही है छाँव कड़ी धूप में दरख्तों की,
हर एक क़ौम पनपती है उसके साये में,
हरेक मुल्क चहकता जवान होता है।
उसी की गोद में सारा जहान सोता है।
कभी जो मीठे सुरों में वो गुनगुनाती है,
सुरूरो कैफ़ बिखरता है सारे आलम में,
समंदरों के तलातुम ठहरने लगते हैं,
कि थमने लगती हैं मौजें हरेक दरिया की,
कि आबशार भी मस्ती में गुनगुनाते हैं,
हरेक डाल पे पंछी भी झूम उठते हैं।
हवाएँ उसकी सदा में सदा मिलाती हैं,
फ़ज़ाएँ लोरियाँ उस माँ के साथ गाती हैं।
कि उसके बच्चे को क़ुदरत सुलाने आती है।
लबों पे उसके तराने हैं ज़िन्दगानी के,
ज़बाँ से प्यार का अमृत बरसता रहता है,
नज़र में मेह्रो-मुहब्बत के चाँद तारे हैं,
जबीं है जैसे कि अज़्मत का आफ़ताब कोई,
जहाँ का हुस्न है पिन्हाँ उसी की सूरत में,
छुपा हुआ है खुदा माँ की अस्ल सूरत में।
वो माँ की ममता जिसकी न कोई तोल सका
कोई भी उसकी तरह प्यार से न बोल सका।
हरेक दर्द जो सहती है दुख उठाती है,
मिटा के खुद को जो औलाद को बनाती है।
किसीके पास ये ईसार ये वफ़ा ही नहीं,
जो माँ के पास है औरों में वो अदा ही नहीं।
इसीलिए तो जहाँ में अज़ीमतर माँ है,
खुदा के बाद इबादत का एक दर माँ है,
मेरा यक़ीन है जन्नत है माँ के क़दमों में,
खुदा की सारी इनायत है माँ के क़दमों में।
NAZM --MA A--1
ZAMEE'N BANAEE HAI JISNE FALAK BANAYA HAI,
KE MEHR-O-MAAH KI TAKHLEEQ JISNE KI YAARO,
WO CHHUP KE BAITH GAYA MAA KE AIK PARDE MAIN.
SALAAM USPE KE JO MAA HAI SAARE AALAM KI.
HAI JISKI KOKH SE TAKHLEEQ NASL-E-ADAM KI.
KHUDA KI ZAAT NE KHALIQ JISE BANAYA HAI.
USI NE QAUM KE PAIGHAMBARON KO JANM DIYA
USI SE DEEN HAI IMAAN AUR MAZHAB HAI,
USI KE FAIZ SE SARA JAHA'N MUHAZZAB HAI.
USI KI ZULF KA SAAYA HAI AASMA'N KI TARAH,
WAHI HAI CHHAUN KADI DHOOP MAIN DARAKHTON KI,
HAR AIK QAUM PANAPTI HAI USKE SAAYE MAIN.
HAR AIK MULK CHAHAKTA JAWAAN HOTA HAI.
USI KI GOD MAIN SARA JAHAN SOTA HAI.
KABHI JO MEETHE SURON MAIN WO GUNGUNATI HAI.
SUROOR-O-KAIF BIKHARTA HAI SAARE AALAM MAIN.
SAMUNDARON KE TALATUM THAHARNE LAGTE HAIN.
KE THAMNE LAGTI HAIN MAUJEN HAR AIK DARIYA KI.
KE AABSHAAR BHI MASTI MAIN GUNGUNAATE HAIN.
HAR AIK DAAL PE PANCHHI BHI JHOOM UTHTE HAIN.
HAWAYEN USKI SADA MAIN SADA MILATI HAIN.
FIZAYEN LORIYAN US MAA KE SAATH GAATI HAIN.
KE USKE BACHCHE KO QUDRAT SULANE AATI HAI..
LABON PE USKE TARANE HAIN ZINDGANI KE,
ZABA'N SE PYAAR KA AMRIT BARASTA RAHTA HAI.
NAZAR MAIN MEHR-O-MUHABBAT KE CHAAND TARE HAIN.
JABI'N HAI JAISE KE AZMAT KA AAFTAB KOEE,
JAHA'N KA HUSN HAI PINHA'N USI KI SOORAT MAIN,
CHHUPA HUWA HAI KHUDA MAA KI ASL MOORAT MAIN.
WO MAA KE MAAMTA JISKI NA KOEE TOL SAKA.
KOEE BHI USKI TARAH PYAR SE NA BOL SAKA.
HAR AIK DARD JO SAHTI HAI DUKH UTHATI HAI.
MITA KE KHUD KO JO AULAD KO BANATI HAI.
KISIKE PASS YE EESAR YE WAFA HI NAHIN,
JO MAA KE PAAS HAI AURON MAIN WO ADA HI NAHIN.
ISILIYE TO JAHA' MAIN AZEEMTAR MAA HAI.
KHUDA KE BAAD IBADAT KA AIK DAR MAA HAI.
MERA YAQEEN HAI JANNAT HAI MAA KE QADMON MAIN.
KHUDA KI SAARI INAYAT HAI MAA KE QADMON MAIN.
KE MEHR-O-MAAH KI TAKHLEEQ JISNE KI YAARO,
WO CHHUP KE BAITH GAYA MAA KE AIK PARDE MAIN.
SALAAM USPE KE JO MAA HAI SAARE AALAM KI.
HAI JISKI KOKH SE TAKHLEEQ NASL-E-ADAM KI.
KHUDA KI ZAAT NE KHALIQ JISE BANAYA HAI.
USI NE QAUM KE PAIGHAMBARON KO JANM DIYA
USI SE DEEN HAI IMAAN AUR MAZHAB HAI,
USI KE FAIZ SE SARA JAHA'N MUHAZZAB HAI.
USI KI ZULF KA SAAYA HAI AASMA'N KI TARAH,
WAHI HAI CHHAUN KADI DHOOP MAIN DARAKHTON KI,
HAR AIK QAUM PANAPTI HAI USKE SAAYE MAIN.
HAR AIK MULK CHAHAKTA JAWAAN HOTA HAI.
USI KI GOD MAIN SARA JAHAN SOTA HAI.
KABHI JO MEETHE SURON MAIN WO GUNGUNATI HAI.
SUROOR-O-KAIF BIKHARTA HAI SAARE AALAM MAIN.
SAMUNDARON KE TALATUM THAHARNE LAGTE HAIN.
KE THAMNE LAGTI HAIN MAUJEN HAR AIK DARIYA KI.
KE AABSHAAR BHI MASTI MAIN GUNGUNAATE HAIN.
HAR AIK DAAL PE PANCHHI BHI JHOOM UTHTE HAIN.
HAWAYEN USKI SADA MAIN SADA MILATI HAIN.
FIZAYEN LORIYAN US MAA KE SAATH GAATI HAIN.
KE USKE BACHCHE KO QUDRAT SULANE AATI HAI..
LABON PE USKE TARANE HAIN ZINDGANI KE,
ZABA'N SE PYAAR KA AMRIT BARASTA RAHTA HAI.
NAZAR MAIN MEHR-O-MUHABBAT KE CHAAND TARE HAIN.
JABI'N HAI JAISE KE AZMAT KA AAFTAB KOEE,
JAHA'N KA HUSN HAI PINHA'N USI KI SOORAT MAIN,
CHHUPA HUWA HAI KHUDA MAA KI ASL MOORAT MAIN.
WO MAA KE MAAMTA JISKI NA KOEE TOL SAKA.
KOEE BHI USKI TARAH PYAR SE NA BOL SAKA.
HAR AIK DARD JO SAHTI HAI DUKH UTHATI HAI.
MITA KE KHUD KO JO AULAD KO BANATI HAI.
KISIKE PASS YE EESAR YE WAFA HI NAHIN,
JO MAA KE PAAS HAI AURON MAIN WO ADA HI NAHIN.
ISILIYE TO JAHA' MAIN AZEEMTAR MAA HAI.
KHUDA KE BAAD IBADAT KA AIK DAR MAA HAI.
MERA YAQEEN HAI JANNAT HAI MAA KE QADMON MAIN.
KHUDA KI SAARI INAYAT HAI MAA KE QADMON MAIN.
Thursday, 10 July 2014
na jaane kab,,,
NA JAANE KAB KISI KE KHWAB SE YE DIL DHADAK JAAYE,
AGAR SONE LAGO TO HAATH SEENE PAR DHARE RAKHIYO.
IBRAHIM ASHK.,
MAA KI MAHANTA....
SAHIB HAIN APNI JAGAH, MAA KA APNA MAAN,
PHIR SAHIB KO JANNA , PAHLE MAA KO JAAN.
IBRAHIM ASHK.
[is dohe main maa ki mahanta ka greatness ka bayan kiya gaya hai. sufiism main god ko khuda ko ishwar ko sahib kaha gaya hai isliye is dohe main kaha gaya hai ke sahib yani god ka apna maan samman hai aur maa ka apna muqam hai jab tak aap maa ki greatness ko nahin samajhte tab tak god ki greatness tak pahunchna ya use jaanna namumkin hai. isliye zaroori hai ke maa ki greatness ko pahle samjha jaye. ]
SOORAJ TO MERE
SOORAJ TO MERE ZAKHM SE LETA HAI ROSHNI,
AATA HAI ROZ SUBH MUJHE DHOONDTA HUWA.
IBRAHIM ASHK.,
SAMUNDAR BHI PYASA,,,,,,,,,,
HAR IK MAUJ SAHIL PE SAR MARTI HAI,
MUJHE TO SAMUNDAR BHI PYASA LAGA HAI.
IBRAHIM ASHK.
,
KISI KE KHWAB SE....
NA JANE KAB KISI KE KHWAB SE YE DIL DHADAK JAAYE,
AGAR SONE LAGO TO HAATH SEENE PAR DHARE RAKHIYO.
IBRAHIM ASHK.,
JO FASL,,,
JO FASL MAINE BOEE WO KATI NAHIN KABHI,
DAAMAN MAIN GHAIR KE MERI MEHNAT KE PHAL GAYE.
IBRAHIM ASHK.,
DARIYA KI MAUJ,,,
USKE BADAN KA LOCH THA DARIYA KI MAUJ MAIN,
SAHIL SE MAIN BAHAV KO TAKTA HI RAH GAYA.
IBRAHIM ASHK.,
AIK SHAER
MAIN GIRKE IS JAHA'N MAIN KISI SE NAHIN MILA,
IS BANKPAN KO DEKH KE KUCHH LOG JAL GAYE.
IBRAHIM ASHK.,
2 ASHAAR
YE NA DEEWANE SE POOCHO ZINDGI KAISI RAHI,
JO BACHI KAT JAYEGI, JO KAT GAEE ACHCHI RAHI.
ROZ IK SHAHR-E-TAMANNA JAL KE VIRANA HUWA,
ROZ IK BASTI NAEE UMMEED KI BASTI RAHI.,
IBRAHIM ASHK,
AIK SHAER
WO AIK SHAKHS JO IK ANJUMAN THA MERE LIYE,
GAYA TO DE GAYA SAARE JAHA'N KI TANHAEE,
IBRAHIM ASHK.,
AIK SHAER
BESABAB DIL KE DHADAKNE MAIN CHHUPI HAI ZINDGI,
AIK LAMHA BHEEG KAR YE RAAZ SAMJHANE LAGA.
IBRAHIM ASHK.
AIK SHAER
BEKHUDI MAIN AZM KI PATWAR MAINE THAM LI,
RAAH MAIN PHIR JO BHANWAR AAYA KINARA BAN GAYA,
IBRAHIM ASHK.,
AIK SHAER
KOEE DIL SE TO MILE MAIN HOON SARAPA IKHLAS,
BEWAFON MAIN HAI MASHHOOR ANA BHI MERI.
IBRAHIM ASHK.,
AIK SHAER
AABAD AB TALAK HAI KOEE GOSHA-E-WAJOOD,
RAH RAH KE WARNA UTHTA HUWA YE DHUNWA HAI KYA.
IBRAHIM ASHK.,
NAZM: AAKHRI KHAT
[ye nazm maine "Ghalib" aur "Meer" ki Delhi chhodte waqt kahi thi jise baad main Ghazal singar Chandan Dass ne gaaya aur itni super hit huee ke unki pahchaan ban gaee.You Tube par iska video maujood hai lekin usmen nazm ke 3 hi band shamil hain jabke poori nazm main 4 band hain, Aaj main wo charon band yahan pesh kar raha hun, nazm mulaheza ho. ]
AAKHRI KHAT HAI MERA......
AAKHRI KHAT HAI MERA,
JISPE HAI NAAM TERA,
AAJ KE BAAD KOEE KHAT NA LIKHUNGA TUJHKO.
TUJHKO DAR HAI TERI RUSWAI KA, BADNAMI KA,
MUJHSE KYA KHOOB YE UMMID RAKHI HAI TOONE.
MERA KYA HOGA TUJHE ISKA KOEE PASS NAHI,
APNE HISSE MAIN TO HAR EID RAKHI HAI TOONE.
KHUSH RAHE TOO KOEE ILZAAM NA DOONGA TUJHKO,
AAJ KE BAAD KOEE KHAT NA LIKHUNGA TUJHKO.
BHOOL JAUNGA TUJHE YE TO NAHIN KAH SAKTA,
DILPE CHALTA HAI KAHAN ZOR MUHABBAT KARKE.
PHIR BHI IS BAAT KI LETA HUN QASAM AYE HUMDAM,
MAIN NA TADPAUNGA TUJHKO KABHI NAFRAT KARKE.
BEWAFA TOO HAI KABHI MAIN NA KAHUNGA TUJHKO.
AAJ KE BAAD KOEE KHAT NA LIKHUNGA TUJHO.
YAAD BHEEGE HUWE LAMHON KI SATAYEGI AGAR,
AAP APNE SE KAHIN DOOR NIKAL JAUNGA.
ITTEFAQAN BHI AGAR TUJHSE MULAAQAT HUEE,
AJNABI BANKE TERI RAAH SE TAL JAAUNGA.
DIL TO CHAHEGA PAR AAWAZ NA DOONGA TUJHKO.
AAJ KE BAAD KOEE KHAT NA LIKHUNGA TUJHKO.
YE TERA SHAHR YE GALIYAN DAR-O-DEEWAR YE GHAR,
MERE TOOTE HUWE KHWABON KI YAHI JANNAT HAI.
KAL YE SAB CHHOD KE JANA HAI BAHUT DOOR MUJHE,
JIS JAGAH DHOOP HAI SAHRA HAI MERI QISMAT HAI.
YAAD MAT KARNA MUJHE AB NA MILOONGA TUJHKO.
AAJ KE BAAD KOEE KHAT NA LIKHUNGA TUJHKO.
AAKHRI KHAT HAI MERA, JISPE HAI NAAM TERA,
AAJ KE BAAD KOEE KHAT NA LIKHUNGA TUJHKO
IBRAHIM ASHK.
3 Ashaar
KOEE QATIL HI MILE HAI NA MASIHA KOEE.
DEKH KITNA HAI BHARE SHAHR MAIN TANHA KOEE.
DHOOP HI DHOOP MUJE DI HAI JHULASNE KE LIYE,
CHHEEN KAR LE GAYA MUJHSE MERA SAAYA KOEE.
SAKHT RAHON SE MAIN IS TARAH GUZAR JATA HOON,
JAISE PARBAT SE GUZAR JATA HAI DARIYA KOEE.
IBRAHIM ASHK..
Wednesday, 9 July 2014
Nazm TAJMAHAL
SANG-E-MARMAR PE MUHABBAT KI GHAZAL HAI HUMDAM.
KITNA DILKASH YE HASEE'N TAJMAHAL HAI HUMDAM.
LOG KAHTE HAIN HASEE'N KHWAB KI TABEER JISE-
DIL PE RAKKHI HUEE WO ISHQ KI BUNIYAAD HAI YE.
RAH GAEE DARD KI KHAMOSH IMARAT BANKAR,
APNE BICHHDE HUWE MAHBOOB KI WO YAAD HAI YE.
JAB KOI PAHLA QADAM RAKHTA HAI ISKE DAR PAR,
AISA LAGTA HAI KE MANZIL KE QAREEB AAYA HAI.
DIL MAIN UTHTE HAIN UMANGON KE HAZARON TOOFA'N
ZINDGI JHOOM KE KAHTI HAI KE KUCHH PAYA HAI.
AUR JAB UTHKE THAHARTI HAIN NIGAAHEN ISPAR
TAAJ IK PAL MAIN HAR IK DIL MAIN UTAR JATA HAI.
JANE KABTAK WO ISE YUNHI TAKA KARTE HAIN,
JANE KABTAK KE LIYE WAQT THAHAR JATA HAI.
YE WO WADI HAI KE DILKASH HAI YAHAN KI HAR CHEEZ,
JO BHI AAYA HAI MUHABBAT SE YAHAN BHEEG GAYA.
YUN TO KITNE HI MUQAMAAT THE LEKIN HUMDAM,
KOEE TO BAAT THI JO TAAJ YAHAN PAR HI BANA.
SANG-E-MARMAR KI YE PAKIZA IMARAT HUMDAM,
ROOH KI TARAH KINAARE PE KHADI HAI KHAMOSH.
JAISE US PAAR SE IS PAAR KOEE AAYEGA,
AUR KAR LEGA MUHABBAT SE ISE HUM-AAGHOSH.
APNE HONTON SE GAGAN CHOOMTE OONCHE GUMBAD,
AIK INSAAN KI AZMAT KA PATA DETE HAIN.
JO GUZARTE HAIN MUHABBAT KI KATHIN RAHON SE,
AASMANON SE ZAMEENON KO MILA DETE HAIN.
YE TARASHI HUEE BELEN, YE HASEE"N MEHRABEN
KOEE KHAMOSH MUHABBAT KI ZABA'N HO JAISE.
AUR MUNH BOLTE PATTHAR KI YE SAB DEEWAREN,
AIK FUNKAR KA ANDAZ-E-BAYA'N HO JAISE.
YE CHAMANZAAR MAIN JO PHOOL KHILE HAIN HUMDAM,
TAZGI INKI ZAMANE MAIN MILEGI NA TUJHE.
IK SHANSHAH NE JIS TARAH MUHABBAT KI HAI,
SAARI DUNIYA KE FASAANE MAIN MILEGI NA TUJHE.
CHAND KE AKS SE PURNOOR YE MARMAR KA BADAN,
YAAD US TOOR KE JALVE KI DILA JATA HAI.
YE WO MARKAZ HAI MUHABBAT KA JAHA'N PAR AKSAR,
KOEE BANDE KO KHUDA SE BHI MILA JATA HAI.
AA YAHIN BAITH KE KUCHH PYAAR KI BAATEN KAR LEN,
TAAJ MERAAJ HAI HUM SAB KI MUHABBAT KE LIYE.
DIL MAIN JO PHOOL KHILE HAIN WO CHADHAYEN HUMDAM,
AIK MUMTAZ KE ROZE PE AQEEDAT KE LIYE.
TAAJ TO SIRF MUHABBAT HI BANA SAKTI HAI,
KAHIN DAULAT SE BHI SHEHKAR BANA HAI "SAHIR " ?
DIL KI AANKHON SE ISE DEKH KE KYA CHEEZ HAI YE,
TANZ KARNE SE KAHIN TAAJ MITA HAI "SAHIR" ?
Tuesday, 8 July 2014
Subscribe to:
Posts (Atom)