NAAT SHAREEF
Sab kah rahe the mujhse Madine main Hain Rasool,
Dekha jo sar jhuka ke to seene main hain Rasool.
Khushboo se jaise unki mahakte hain jism-o-jaa,n,
Khoon-e-jigar main mere pasine main hain Rasool.
Jo Aashiq-e-Rasool ho dekhe wo jhank kar,
Har waqt meri aankh ke zeene main hain Rasool.
Unke hi naam se to dhadakta hai mera dil,
Kya fikr maut ki mere jeene main hain Rasool.
Sab ki nazar se maine churaya hai aapko,
Sach ye hai mere dil ke nagine main hain Rasool.
Main unki sunnaton ki hi karta hun pairvi,
Akhlaq main hain mere qareene main hain Rasool.
Aye Ashk, ab mujhe kisi Toofan ka gham nahin,
Khushbakht hoon ke mere safeene main hain Rasool.

No comments:
Post a Comment