Chahate roj machalati hain samandar ki tarah
koi tasweer si banti hai bigad jati hai.
Roj jaise kisi toofan se gujar hota hai
Roj kitane hi bhanvar paanv me pad jaate hain
kitane armaan chamakte hain sitaron ki tarah
Asman kitne dar-e-dil pe hue hain roshan
kitne arman chamakte hain sitaron ki tarah
Dard ka chand ghataon se ubhar jata hai
noor hi noor fazaaon me bikhar jata hai
jaag uthati hai kasak toote hue rishton ki
Phool ki tarah har jakhm mahak jaata hai
koi aansoo meri palkon pe dhalak jata hai
roj is alam-e-hasti ka nazara hai alag
zindgani me harek pal ka ishara hai alag
waqt har maod pe pe tabdeel hua jata hai
adami dard ki takmeel hua jata hai.

No comments:
Post a Comment