Tuesday, 8 July 2014

GHAZAL: SUBH KE PARINDE,,,,,,

SUBH KE PARINDE KI IK UDAAN MAIN BHI HOON.
SHAAM KE PARINDE KI IK THAKAN MAIN BHI HOON.

DHOOP-DHOOP ANGARE, LOO KE WO SITUM SAARE,
DOPAHAR KI SHIDDAT KA IK BAYAAN MAIN BHI HOON.

CHAAND,TAARE AUR JUGNU, KHAMUSHI-O-TAREEKI,
SOEE JAAGI RAATON KI DASTAAN, MAIN BHI HOON.

IS TARAF BHI SADIYAN HAIN, US TARAF BHI SADIYAN HAIN,
AATE-JAATE LAMHON KE DARMIYAAN , MAIN BHI HOON.

DASHT HO KE SAHRA HO, SHAHR HO KE VIRANA,
IK ZAMEEN PAR THAHRA AASMAAN, MAIN BHI HOON.

KOEE DAR BHI KHULTA HAI , KHULTE HAIN DAREECHE BHI,
KOEE MUJH MAIN RAHTA HAI, IK MAKAN, MAIN BHI HOON.

HAR QADAM PE BASJANA, HAR QADAM UJAD JANA,
AAP APNE ANDAR HI IK JAHAN , MAIN BHI HOON.

No comments:

Post a Comment