Tuesday, 1 July 2014

Meri Nazm.

kabhi maN ki mamta men dhal kar wo ubhari
kabhi dard ke dhup jaisi vo bikhari
kabhi jaise pariyon ke dole me aayi
kabhi ban ke mahboob dil me samayi
kabhi chand ka ek hala bani hai
kabhi mere paon ka chhaala bani hai
kabhi raston ka andhera bani hai
kabhi manjilon ka ujala bani hai
kabhi saaz ban kar vo aawaaz ban kar
rahi meri dhadkan me vo raaz ban kar
kabhi meet jaisi kabhi geet jaisi
meri har jaisi meri jeet jaisi
kai sooraton me vo mujhase mili hai
pakad kar mera haath chalti rahi hai
bahoot khoobsoorat bahut paak hai wo
meri dil ke jaisi hi ghamnak hai wo
hai mera tasavvor meri bazm hai wo
meri nazm hai wo meri nazm hai wo

No comments:

Post a Comment