Sunday 12 October 2014

MISAL-E-MAUJ USE SAB MACHAL KE DEKHTE HAIN

GHAZAL BY IBRAHIM ASHK [Ahmad Faraz ki nazr ]
=========================================
Misaal-e-mauj use sab machal ke dekhte hain.
Haseen saare magar usko jalke dekhte hain.

Guzar jo shahr ki galiyon se uska hota hai,
Tamam log gharon se nikal ke dekhte hain.

Pade jaha'n bhi qadam uske dasht-o-sahra main,
Zamee'n se aap hi chashme ubal ke dekhte hain.

Ghazab ki taab wo rakhta hai apne jalwon main,
ke Mehr-o-Maah bhi usko sanbhal ke dekhte hain.

Zara sa lams jo mil jaaye uske haathon ka,
Darakht sookhe huwe phool-phal ke dekhte hain.

Suna hai bazm main uski khuda ke jalwe hain,
Sama'n wahan ka chalo hum bhi chal ke dekhte hain.

Suna hai apni ravish wo nahin badalta hai,
To uske waste khud ko badal ke dekhte hain.

Suna hai ishq main jalna bhi ik ibaadat hai,
Misaal-e-Mehr chalo hum bhi jal ke dekhte hain.

Suna hai sheesh Mahal main wo jab sanwarta hai,
Sab aaeene use shaklen badal ke dekhte hain.

Wafa main uski ghazab ki hai garmi-e-ahsas,
Use to raah ke patthar pighal ke dekhte hain.

Kabhi to Aayega ,dekhega, wo dareeche se,
Gali main uski zara hum tahal ke dekhte hain.

Khulega raaz wo maasoom hai ke hai hushiyaar,
Rhe-wafa main zara usko chhal ke dekhte hain.

Ye kam nahin hai humen chahta hai wo warna,
Bade-bade bhi use haath mal ke dekhte hain.

Abhi to aik nazar hi mili hai bas usse,
Abhi se khwab hazaron mahal ke dekhte hain.

Sahar se shaam talak usko dekhne wale,
Tulu'a hoke, kabhi usko dhal ke dekhte hain.

Sarapa naaz hai wo usko dekhne wale,
Har ik ada main ishaare Ghazal ke dekhte hain.

Bahut dinon se koi ras nahin hai jeene main,
To aao hum ye zamana badal ke dekhte hain.

Hanse wo jab to gulista,n ke phool sharma kar,
Labon pe uske nazare kanwal ke dekhte hain.

Tamam lafz-o-ma'aani ki hai yahi khwahish,
Kare wo baat to baaton main dhal ke dekhte hain.

Talaash-e-yaar main nikle to har qadam par hum,
Khazaane saare hi ilm-o-Amal ke dekhte hain

Usi ki yaad main kyun dil tadapta rahta hai,
Ho mumkinat to ye dil badal ke dekhte hain.

Hazaaron baar ye socha na kaamyaab huwe,
Agar wo saamne aaye to talke dekhte hain.

Sunaee deti hai Aahat humen zamaane ki,
Ke hum to aaj se haalat kal ke dekhte hain.

Ghazal to kahna hai ay "Ashk" humko nazr-e-Faraz,
Zara sa Qafiya lekin badal ke dekhte hain.

No comments:

Post a Comment