Sunday 29 June 2014

DOHE


DOHE


ghazal

Assalamo Alaykum, tamam doston ko ramadan ke mahine ki
barkaton ke liye bahut bahut mubarakbaad. ye mahina gunaahon ki muaafi
aur bakhshishon ke liye hai. aur nekiyon ka Allahpak se inaam pane ka hai.

is maah-e-mubarak main roza tamam jismaani aur roohani taqat ko badhata

hai wahin namaaz zindgi ko saliqe aur usool parasti ka dars deti hai, isliye namaaz aur roze

ki pabandi kijiye aur apni jismani aur roohani quwwat ko badhaiye, Allah sabko

shaad aur Aabad rakhe isi duwa ke saath, Allah Hafiz. Ibrahim Ashk

ghazal


naat sharif

NAAT SHAREEF

Sab kah rahe the mujhse Madine main Hain Rasool,
Dekha jo sar jhuka ke to seene main hain Rasool.

Khushboo se jaise unki mahakte hain jism-o-jaa,n,
Khoon-e-jigar main mere pasine main hain Rasool.

Jo Aashiq-e-Rasool ho dekhe wo jhank kar,
Har waqt meri aankh ke zeene main hain Rasool.

Unke hi naam se to dhadakta hai mera dil,
Kya fikr maut ki mere jeene main hain Rasool.

Sab ki nazar se maine churaya hai aapko,
Sach ye hai mere dil ke nagine main hain Rasool.

Main unki sunnaton ki hi karta hun pairvi,
Akhlaq main hain mere qareene main hain Rasool.

Aye Ashk, ab mujhe kisi Toofan ka gham nahin,
Khushbakht hoon ke mere safeene main hain Rasool.

naat sharif

NAAT SHAREEF BY IBRAHIM ASHK

TASWEER BADAL DE JO INSA'N KE MUQADDAR KI.
AAMAD HAI ZAMANE MAIN IK AISE PAYAMBAR KI.

TUNE TO DOALAM KA YE NOOR LAPETA HAI,
KYA KHOOB HALIMA HAI AZMAT TERI CHADAR KI.

BE KHOF-O-KHATAR HO KAR, SOYE HAIN ALI JIS PAR,
THI MAUT HIFAZAT MAIN,USS MAULA KE BISTAR KI.


JIS BUT KO KO GIRAYA HAI USNE YE SADAYEN DI,
KABE MAIN HAQEEQAT AB KHULNE LAGI PATTAR KI.


JISKO MERE MAULA NE MUTHTHI MAIN CHUPAYA HAI,
KYA SHAAN NIRALI HAI USS BOLTE KANKAR KI.


KITNA HI ANDHERA HO,BADHTA HI CHALA JAYE,
RAFTAR NA KAM HOGI IMAN KE LASHKAR KI.


WO RAHMAT-E-ALAM HAIN, SAB PAR HAI KARAM UNKA,
AYE "ASHK" YE AZMAT HAI, ISLAM KE RAHBAR KI.

hamd sharif

Ramzan Mubarak!!!


HAMD SHARIF,,,,,,,,

sare jahan main tera noor hai, Allahhu
Ishq hai mera,mera suroor hai ,Allahhu.

Aadhe adhure chand, sitare,suraj hain,
Tera jalwa hi bharpoor hai, Allahhu.

Tere bina main khali bartan jaisa hun,
Mere undar tera zahoor hai,Allahhu

Kisme tab hai jo tera deedar kare,
Aik jhalak bhi teri Toor hai , Allahhu.

Main bekhud mastana teri masti main,
Dil ye tere nashe main choor hai, Allahhu.

Main shahon ko kab khatir main lata hun,
Mere andar tera ghuroor hai ,Allahhu.

Tu usko mukhtar bana hi deta hai,
Sabke aage jo majboor hai, Allahhu.

Main nadan ibadat teri kya janu,n,
Mera to bas ik dastoor hai , Allahhu.

Tere naam ki qadr-o-qeemat kitni hai.
Mujhko itna kahan shaoor hai ,Allahhu.

Yun tune abad kiya hai mera Dil,
Mere andar Noor hi Noor hai, Allahhu.

ताज़ा ग़ज़ल

एक ताज़ा ग़ज़ल तमाम दोस्तों के लिए 

               ग़ज़ल 

बज्मे-दुनिया से रस्मो-राह करें .

बेबफाओं से हम निबाह करें .

आज फुर्सत मिली है जीने की,

आज के दिन कोई गुनाह करें.

हम दीवानों का ये मुक़द्दर है,

इश्क मैं जिंदगी तबाह करें.

जो न मिल पाए हमको दुनिया मैं,

दिल ये कहता है उसकी चाह करें.

इश्क तो जैसे इक इबादत है,

इश्क करना है , बेपनाह करें.

क्यूँ  न ये कायनात हो उसकी,

आप जिसकी तरफ निगाह करें.

क्या ग़ज़ब का मिज़ाज है अपना,

रश्क बन्दे से बादशाह करें 

सूरतें वो कहाँ गईं सारी,

देख कर जिनको वाह वाह करें.

अबतो सच बोलता नहीं कोई,

सोचते हैं किसे गवाह करें.

इब्राहीम अश्क 


ghazal

ग़ज़ल ; इब्राहीम "अश्क"

दरिया है तेरी आँख के साग़र तो नहीं है .
ये शोख बदन कोई गुलेतर तो नहीं है,

हर लम्हा जिसे देख के मैं झूम रहा हूँ ,
ये कोई मुहब्बत का तसव्वुर तो नहीं है.

सहरा है कभी और कभी खुल्द के जैसा ,
सौ रंग बदलता ये मेरा घर तो नहीं है.

कुछ बोलती रहती है ये चहरे की खमोशी
लिक्खा हुवा इस मैं कोई दफ्तर तो नहीं है.

उड़ता है बुलंदी की तरफ ये जो हवा मैं ,
जांबाज़ परिंदे का कोई पर तो नहीं है .

गलियों मैं मुहब्बत की भटकता है अकेला ,
इंसान के जैसा ये पयम्बर तो नहीं है .

इक राह के पत्थर पे इबारत सी लिखी है ,
लगता है यही मेरा मुक़द्दर तो नहीं है .

जो सरहदे -अफ्लाक से ऊंचा नज़र आया
ये शहर के मुफलिस का कोई सर तो नहीं है.

ए "अश्क " सरापा है मेरा शेर के जैसा,
सब देख के कहते हैं सुखनवर तो नहीं है.

shaer

سوچوں اگر تو فکر دو عالم بھی کم مجھے 

لکھوں تو حرف حرف مرا کاینات ہے 

ghazal


rubaai


rubaai


ghazal


ghazal


ghazal


ghazal


hindi ghazal


hindi ghazal


hindi ghazal


hindi ghazal


hindi ghazal


hindi ghazal