Monday 26 January 2015

JIYA KABEER BAN KE MAIN,,,,


KHWAB BAHUT SAARE HAIN


KAYNAAT KA SAFEER


JISE LOG KAHTE HAIN HINDOSTA'N HAI,,,,,,

Jise log kahte hain Hindosta,n hai
Yahi apne khwabon ka pyara jaha,n hai

Na Hindu,na Muslim, na Sikh, aur Isaee
Sab ik maan ke jaye hain aapas main bhai,
Ye gandhi ke sapnon ka Nehru ka bharat,
Ye nanak ki baghiya hai Chishti ki jannat.
Chaman amn ka pyar ka gulsitan hai..Yahi apne

Idhar shankh goonje agar Mandiron main
Azane,n huee hain udhar Masjidon main.
Jo aawaz Isaa ki girjon se aaee,
Padi granth sahab ki wani sunai.
Kai mazhabon ka yahan ik nisha,n hai.Yahi apne....

Yahan koi seeta hai Radha hai koi,
Koi Chandbibi hai Raziya hai koi.
Kishan hai koi to koi Ram bhi hai,
Muhabbat hamara hi paigham bhi hai.
Nirala yahan ka harek naujawa,n hai. Yahi apne...

Manate hain sab milke Holi Diwali,
Ke eid aur chrismas ki chab hai nirali.
Khushi aur gham bant lete hain milkar,
Nibhate hain har rasm phoolon se khilkar.
Muhabbat yahan to harek ki zaba,n hai.
Ye hindosta,n hai Ye Hindosta,n hai.......Ibrahim ashk
— 

Monday 19 January 2015

WISAAL-O-HIJR KI TANHAIYAAN


Aasma'n hun main,,,

PARWAAZ-E-BAAL-O-PAR  NE  MUJHE  YE  BATAA  DIYA,
RAHTA  HUN  IS  ZAMEE'N  PE  MAGAR  AASMA'N  HUN  MAIN
IBRAHIM  ASHK.
ساحر کی یاد میں 
'''''''''''''''''''''''''''''''''''
ابراھیم اشک

یہ آشیانہ جو اک روز رشک جنت تھا
ہر ایک سمت یہاں وحشتیں برستی ہیں
کبھی جو نور سے پرنور تھے در و دیوار
تمام آج وہ اجڈے دیار جیسے ھیں
جہاں فضاوں میں تخلیق رقص کرتی تھی
نحوستوں کا وہاں پر عجیب عالم ہے
جہاں پہ الم و ادب کے چراغ جلتے تھے
ہر ایک گوشے میں جیسے وہاں پہ ماتم ہے۔
جہاں پہ محفلیں سجتی تھیں ہمنواوں کی
وہاں کسی کی بھی "پرچھاییاں" نہیں ملتیں
وہ شخص عظمت و شہرت تھی جسکی دنیا میں
نہیں ہے اسکی وراثت کسی کے ہاتھوں میں
وہ نغمہ گر کہ جو بے تاج بادشاہ رہا
کوی بھی اسکی محبت میں رونے والا نہیں۔
جہاں کمال کو دیکھا تھا ساری دنیا نے
وہاں زوال کی صورت دکھای دیتی ہے
کتابیں اسکی ہیں بوسیدہ کاغزوں کی طرح
ہہاں وہاں کی اوراق اڑتے پھرتے ہیں۔
پڑے ہوۓ ہیں سب اعزاز دھول مٹی میں
سند جو "پدم شری" کی کبھی ملی تھی اسے
کباڑخانے میں وہ بھی پھٹی پڑی ہے کہیں۔
جہاں پہ گیت کبھی گونجتے تھے "ساحر" کے
کبوتروں کی غٹرغوں سنای دیتی ہے۔۔۔
ٓٓٓ،،،،،،،،،،،،،،،،،،،،،،،،،،،،،،،،،،،،،،،،،،،،،،،،،

Sunday 18 January 2015

GHAZAL HAMAARI,,,,


KABHI WO KHWAB SAA HAI,,,HINDI


BHALA LIKKHA HAI


BAHUT DER LAGI


== GHAZAL===IBRAHIM ASHK==
Sada-e-dard-e-wafa jab se aam hone lagi
khmoshi saare buton ki salaam hone lagi
mire junu'n ki yahi inteha hai duniya main
Ke daastaan-e-situm neknaam hone lagi
Talaash-e-yaar main rahti hain raat-din aankhen
Isi safar main sahar aur shaam hone lagi
Ajeeb lutf saa aaya hai kya bataun main
Ye zindgi jo miri tashna-kaam hone lagi
Ye kaynaat ki daulat bhi kam padi yaaro
Agar ye meri muhabbat ka daam hone lagi
Tiri nigaah se peene main wo mazaa aaya
Sharab khuld ki mujh par haraam hone lagi
Nahin hai ab to zaroorat kisi bhi qaasid ki
Ke jab se baad-e-saba humkalaam hone lagi
Kahani ishq ki yun to hai mukhtasar lekin
Jahan ph chhooti wahin naatamaam hone lagi
Na khush huwe hain parastaar 'Meer' w 'Ghalib' ke
Ghazal jo 'ashk' hamaari imaam hone lagi

== GHAZAL===IBRAHIM ASHK==

== GHAZAL===IBRAHIM ASHK==
Sada-e-dard-e-wafa jab se aam hone lagi
khmoshi saare buton ki salaam hone lagi
mire junu'n ki yahi inteha hai duniya main
Ke daastaan-e-situm neknaam hone lagi
Talaash-e-yaar main rahti hain raat-din aankhen
Isi safar main sahar aur shaam hone lagi
Ajeeb lutf saa aaya hai kya bataun main
Ye zindgi jo miri tashna-kaam hone lagi
Ye kaynaat ki daulat bhi kam padi yaaro
Agar ye meri muhabbat ka daam hone lagi
Tiri nigaah se peene main wo mazaa aaya
Sharab khuld ki mujh par haraam hone lagi
Nahin hai ab to zaroorat kisi bhi qaasid ki
Ke jab se baad-e-saba humkalaam hone lagi
Kahani ishq ki yun to hai mukhtasar lekin
Jahan ph chhooti wahin naatamaam hone lagi
Na khush huwe hain parastaar 'Meer' w 'Ghalib' ke
Ghazal jo 'ashk' hamaari imaam hone lagi

Thursday 15 January 2015

TAMAM AALAM-E-HASTI,,,,,

==GHAZAL==IBRAHIM ASHK

Tamaam aalam-e--hasti main inquilaab saa haiMizaaj-e-yaar magar Aaj bhi kharaab saa haiMisaal-e-shaakh-e-gu-l-e-tar hai tan badan uskaPhir uspe jaise ke chehra koee gulaab saa haiUse to pahli nazar hi main chun liyaa sab neSarapa uska hazaaron main intekhaab saa haiPadhen jo usko to poori tarah na padh paayenWo aasmaan se utri huee kitaab saa haiAjeeb uska hai kirdaar kya kahen uskoKabhi lage wo haqeeqat kabhi wo khwaab saa haiUse qareeb se dekhen to pyaas badhti haiMagar wo daria nahin hai, koeee saraab saa haiHar ik nigaah use saaf dekh leti haiWo sau Naqaab main ho phir bhi Benaqaab saa hai.Koee bataye use kis tarah pukaren hum,Hai din main mehr wo raton main maahtaab saa hai.Misaal uski bataayen to kya batayen hum,Jawab uska nahin wo to laajawaab saa hai

Aalam-e-hasti main inquilaab saa hai.