Tuesday 29 July 2014

EID MUBARAK

TAMAM DOSTON KO EID KI PUR-KHULOOS MUBARAKBAD.

Monday 28 July 2014

Thursday 24 July 2014

SAAWAN BEIMAAN...

PRITAM HAIN PARDES MAIN GHAR  AANGAN SUNSAAN,

DWAR MERE KYUN AA GAYA , YE SAAWAN BEIMAAN.

IBRAHIM ASHK.,

SAWAN KA MAHINA....

JIS ROZ BARAS JAYEN MERI AANKHEN USI DIN,,

LAGTA HAI MUJHE JAISE HAI SAWAN KA MAHEENA.

IBRAHIM ASHK.

SAWAN MAIN MILENGE....

WADA THA YAHI UNSE KE SAAWAN MAIN MILENGE,

US DIN SE MERI AANKHEN BARASNA NAHIN BHOOLIN.

IBRAHIM ASHK.,

UDNE LAGTA HUN...


Monday 21 July 2014

AAEENE MAIN USE SANWARTE,,,,,,,

HAAL TO POOCHHEN CHALKAR HUM AAEENE KA,

AAEENE MAIN USE SANWARTE DEKHA HAI.

IBRAHIM ASHK.,

CHAHE ZULMAT MAIN RAHE,,,,

CHAHE ZULMAT MAIN RAHE CHAHE UJALON MAIN RAHE.
HUM TO BAS HAAR NAHIN MAANNE WALON MAIN RAHE.
MERI PARWAZ KI SARHAD NA KOI NAAP SAKA,
YE JO AFLAK HAIN SAB MERE KHAYALON MAIN RAHE.
KYA BATAUN MAIN TUMHEN APNE SAFAR KI RUDAAD,
JITNE SAHRA HAIN MERE PAUN KE CHHALON MAIN RAHE.
YE BHI ANDAZ NIRALA HAI KOI KYA JAANE,
BEKHUDI ISHQ KI BIKHRE HUWE BAALON MAIN RAHE.
APNE HI DIL SE KABHI POOCHH LE TANHAEE MAIN,
HUM JAWABON KI TARAH TERE SAWALON MAIN RAHE.
MAZHAB-E-ISHQ MAIN DHOONDA HAI KHUDA KO HUMNE,
HUM NA MASJID MAIN GAYE AUR NA SHIWALON MAIN RAHE.
AZMAT-E-ISHQ SHAHADAT NE LIKHI HAI UN PAR,
WO JO TAREEKH KE AURAQ HAWAALON MAIN RAHE.
SOOKHI ROTI PE BHI JAB SHUKR ADA HUMNE KIYA,
SAARI DUNIYA KE MAZE APNE NIWALON MAIN RAHE.
MOTABAR HO GAYE ALFAAZ WO DEEWANON KE,
JO KITAABON MAIN CHAPE HAIN YA RISAALON MAIN RAHE.
IBRAHIM ASHK.

MAAA BY IBRAHIM ASHK

bachpan by ibrahim ashk

SUNA HAI LOG USE BY IBRAHIM ASHK

naat By IFFAT IBRAHIM

KAREN SALAM USE TO,,,


MILA THA AAJ BHI SHAITAN...

MILA THA AAJ BHI SHAITAN RASTE MAIN MUJHE,

BADE KHULOOS SE USSE NIBAT KE AAYA HOON.

IBRAHIM ASHK.,


Sunday 20 July 2014

BIRTHDAY

AAJ MERA BIRTHDAY HAI SUBAH SE HI MUBARAKBAAD DENE WALON KA TANTA  LAGA RAHA  IS WAQT SHAM HONE AAEE HAI AUR AUR ABTAK DOSTON KE PYAR BHARE MESSEGE AA RAHE HAIN AAJ MALOOM HUWA KE AIK SHAIR KO CHAHNE WALE KIS QADAR BESHUMAAR LOG HOTE HAIN. JO USE BELOS MUHABBAT KARTE AUR DIL SE CHAHTE HAIN. IN SABKO MERI SHAIRI SE MUHABBAT HAI INKE SEENE MAIN JO MUHABBAT BHARA DIL DHADAKTA HAI USKI PYAAS MERE FUN YAANI MERY SHAAYRI SE BUJHTI HAI YE SAB HAZRAAT MERE KALAAM KO PADHKAR YA YOU TUBE PAR SUN KAR MUJHSE BEPANAAH PYAAR KARTE HAIN AUR YAHI MERA INSE RISHTA HAI. MAIN DUWA KARTA HUN KE ALLAH PAK PARWARDIGAAR IN SABKO HAMESHA KHUSH RAKHE AUR YE MERE KALAAM SE LUTF-ANDOZ HOTE RAHEN ,,,ALLAH HAFIZ,,,,,IBRAHIM ASHK.

APNI SALGIRAH PAR KHAS PESHKASH


BIRTHDAY PAR KHAS PESHKASH

APNE BIRTH-DAY PAR KHAS PESHKASH. HALANKE YE GHAZAL BAHUT PAHLE KAHI THI LEKIN TAKHLEEQ KI KHOOBI YAHI HAI KE WAH KABHI PURANI NAHIN HOTI. ISKA DESIGN MERE SHAGIRD-E-RASHEED CHANDRA SHEKHAR PANDE NE KIYA HAI. MULAHEZA HO MERE 63 BIRTHDAY PAR YE GHAZAL

Saturday 19 July 2014

filisteeni bachchon ke liye

Qadam qadam pe jahan maut intezaar main hai,

Bada mazaa hai agar zindgi ki baat karen.

ibrahim ashk.,

KHUDA KA ZIKR KAREN...


BICHADNE MAIN RAH GAYA...


SARAPA AARZOO HOON....

MAIN  SARAPA  AARZOO  HOON,  AARZOO-E-NATAMAM,

MUJHKO  HAR  MANZIL   SE  AAGE KI KHABAR DETA HAI WO.

IBRAHIM ASHK.

[ Main apne Mehboob ki yaad main sar se paun tak aarzoo ban kar rah gaya hun, aisi aarzoo jo kabhi poori hi nahin hoti hai. kyunki main ishq ki aik manzil par pahunchta hun to mera mehboob kisi nai manzil se mujhe pukarne lagta hai aur yun meri aarzoo hamesha adhoori hi rahti hai. ]


CHAHTON KA IK SAFAR...

ZINDGI  APNI  MUSALSAL  CHAHTON  KA  IK  SAFAR ,

IS  SAFAR  MAIN  BARHA  MIL  KAR  BICHAD  JATA  HAI  WO.

IBRAHIM ASHK.,

[ MUHABBAT ZINDGI MAIN AIK BAAR HI MAHIN HOTI HAI YE BAAR-BAAR HOTI HAI AUR HAR BAAR AIK NAYA MEHBOOB MIL KAR BICHAD JATA HAI. CHAHTON KA YE SAFAR YUNHI BADASTOOR CHALTA RAHTA HAI.]

TERENAAM YE DUNIYA KAR DEN...

AB  ZAMANE  MAIN  KISI  CHEEZ KI KHWAHISH  HI NAHIN,

LUT  GAYE  HUM  TO  TERE  NAAM  YE  DUNIYA  KAR  DEN.

IBRAHIM ASHK., 


TUJHE TANHA KAR DEN...

YE  DUWA  HAI  KE  MILE  SAATH  UNHIN  LOGON  KA,

JO  TERE  SAATH  RAHEN  AUR  TUJHE  TANHA  KAR  DEN.

IBRAHIM ASHK.,


HUM WO MAJNOO HAIN...

HUM  WO  MAJNOO  HAIN  KE  JISKO  BHI  WAFA  SE  DEKHEN,

"ASHK"  IK PAL MAIN SARAPA  USE  LAILA  KAR  DEN.

IBRAHIM ASHK.  ,

Friday 18 July 2014

SAMUNDAR KO SAHRA KARDEN.

MERE AANSOO  HAIN KUCHH  AISE KE SAMUNDAR MAIN  AGAR,

AANKH  SE CHHALKEN  TO  TAPTA  HUWA  SAHRA  KAR  DEN.

IBRAHIM ASHK.  ,


Pyaas ka Aalam...

AAJ WO PYAAS KA AALM HAI KE IS AALM MAIN,

AIK QATRA HUMEN MIL JAYE TO DARIYA KAR DEN.

IBRAHIM ASHK.,

Mitti se karen pyaar.....

TUM TO DAULAT KE PUJAARI HO HAMEN KYA JANO,

HUM TO MITTI SE KAREN PYAAR TO SONA KAR DEN.

IBRAHIM ASHK.



MUDDATON BAAD...

MUDDATON  BAAD  USNE  YAAD  KIYA,

MUDDATON BAAD DIL YE DHADKA HAI,

IBRAHIM ASHK.,


KHINCHA HAI DAAR PAR HUMKO...

HAR AIK SANS NE KHINCHA HAI DAAR PAR HUMKO,

HUM APNE DAUR KI PAIGHAMBARI  BHI DEKH CHUKE.

IBRAHIM ASHK.,


ZINDGI AIK SAFAR...


MANZIL-E-SHAUQ NAHIN KOEE SAFIRON KE LIYE,

ZINDGI  HUMNE  TUJHE AIK  SAFAR  JANA  HAI.

Ibrahim Ashk.

[ jo ishq ki rahon ke musafir hain unke naseeb main koee manzil nahin hoti bas safar hi safar hotahai, ye zindgi unke liye aik musalsal safar ban kar rah jati hai. ]   ,


Thursday 17 July 2014

SAMNE WO HON...

WO  SAHAR  BHI  KABHI  TO  AAYEGI,

SAAMNE  WO  HON  AAFTAB  BHI  HO.

Ibrahim Ashk.,


Tera pyar

Tera pyaar agar mil jaaye,

Patthar par bhi phool khile.

Ibrahim Ashk.,


Naat aur Hamd

https://www.facebook.com/ibrahim.ashk/media_set?set=a.421658887918436.99538.100002229848823&type=3

ye hamd aur naat ki link hai

MUSHKILON KE DIN ...

MUSHKILON KE DIN BHI KAT JATE HAIN AASANI KE SAATH,

AUR RAH JATI HAIN BATEN  YAAD  AANE  KE  LIYE..

IBRAHIM ASHK.,


PATTHAR KE LOG...

YE SANAM kHANA HAI RAHTE HAIN YAHAN PATTHAR KE LOG,

KISLIYE BAITHA HAI TOO DIL KI SUNANE  KE  LIYE.

IBRAHIM ASHK.,


ZINDGI KE RASTE MAIN GHUM BHULANE KE LIYE,

YAAD KUCHH PHOOLON KI RAKHIYE MUSKURANE KE LIYE.

IBRAHIM ASHK.,


YAAD AAYA...

IS  TARAH  SE  YAAD  AAYA  HAI  KOEE ,

GHOOM ANKHON MAIN HAR IK MANZAR GAYA.

Ibrahim Ashk.,


DIN TO  GUZRA  PYAS  KE  AHSAS  MAIN,

SHAAM  HOTE  HI  PARINDA  GHAR  GAYA.

Ibrahim Ashk.,


BEDARD

KAB MERA PEECHA CHHUTA BEDARD SE,

HAR QADAM PAR SAATH , DARD-E-SAR GAYA.

IBRAHIM ASHK.,


JUDAEE

DE GAYA DAGH-E-JUDAEE HAR KOEE,

ZAKHM KHA-KHA KAR MERA JEE BHAR GAYA.

IBRAHIM ASHK.,


MUHABBAT

JISKE DIL MAIN GHAR MUHABBAT KAR GAEE,

ZINDGI   WO   BANKPAN  SE  KAR   GAYA.

IBRAHIM ASHK.,

DOORIYAN

KOO-E-JANA'N KA SAFAR, KAISA SAFAR HAI DOSTO,

JITNE HUM AAGE BADHE, UTNI BADHI HAIN DOORIYAN

IBRAHIM ASHK. ,


Majbooriyan...

ZINDGI KA YE CHALAN KAISA CHALAN HAI DOSTO,

AIK KHWAHISH KI TO LAKHON BADH GAEEN MAJBOORIYAN.

IBRAHIM ASHK,


Wednesday 16 July 2014

KHOON-E-DIL HAI....

RANG DUNIYA KE MERE PAAS NAHIN HAIN NA SAHI,

KHOON-E-DIL HAI TERI TASWEER BANANE KE LIYE.

Ibrahim Ashk.,


TERI CHAHAT MAIN...

TERI CHAHAT MAIN SONA HO GAYA HAI,

WAGARNA DIL THA KIS QABIL MIRA.

Ibrahim Ashk.,


KHANABADOSH...

SHAHR KE IN JUNGALON MAIN HUM PHIRE KHANABADOSH,

GHAR MAIN RAH KAR BHI HUMEN KOEE NA APNA GHAR MILA.

Ibrahim Ashk.,


YE MUQADDAR THA...

USNE SHAYAD PHOOL PHENKA THA MERI JANIB MAGAR,

YE MUQADDAR THA KE WO BANKAR MUJHE PATTHAR LAGAA.

IBRAHIM ASHK.,


RASTA NA MILA...

CHALE TO HUMKO KAEE MANZILON NE GHER LIYA,

HUJOOM AISA LAGA THA KE RAASTA NA MILA.

Ibrahim Ashk.,

IK MOD PE...

MAIN TO BAITHA RAHA IK MOD PE SADIYAN GUZRIN,

MERE QADMON KO TARASTA RAHA RASTA KOEE.

Ibrahim Ashk.,


AIK DHUN...

KAHAN PE HUMKO THAHARNA THA YE BHI BHOOL GAYE,

HUM AIK DHUN MAIN HI  AAGE  NIKAL  GAYE  KITNE.

Ibrahim Ashk.,


Aik lamhe ki zindgi...

Hamen to aik bhi lamhe ki zindgi na mili,

Hamare baad ye mausam badal gaye kitne.

Ibrahim Ashk.,

MEHBOOB KE DEEDAR KE BAAD...

BAS AIK SHAMME-FAROZA'N KO MAINE DEKHA THA,

PHIR USKE BAAD DIYE DIL MAIN JAL GAYE KITNE.

Ibrahim Ashk.

[ maine apne mehboob ka deedar kya kiya aisa laga jaise wo aik jalti huee shama ki tarah hai. use dekh kar aisa mehsoos huwa ke mere dil main sainkdon chiragh jalne lage hain. mera dil roshni se bhar gaya hai .],


DOSTI NE LOOT LIYA....

YAAD  AAYA  KE  TOO  BHI  DUSHMAN  HAI,

JAB  TERI  DOSTI  NE  LOOT  LIYA .

Ibrahim Ashk.,

DUSHMANI...

DUSHMANI INTEHA KO JAB PAHUNCHI,

MERE   QATIL   NE   DOSTI   KAR   LI.

Ibrahim Ashk.,

DOSTI

DUSHMANI USNE KAEE SAAL RAKHI HAI MUJH SE,

WO MIRA DOST BANA, ITNA PARAKH KAR MUJHKO.

Ibrahim Ashk.,

Tuesday 15 July 2014

MAIN BHI KAISA AAINA HUN,,,,

MAIN BHI KAISA AAINA HUN, AAINA-DAR-AAINA,

DOOR TAK CHEHRA-BA-CHEHRA, BAS NAZAR AATA HAI WO.

Ibrahim Ashk.

[main apne mehboob ke ishq main sar se paun tak aaine ke andar aaina ban kar rah gaya hun jisse sainkdon aaine ban gaye hain aur un main mere mehboob ke saindon chehre dikhai dete hain. ishq ki inteha aur maani aafrini ka bemisaal namuna. aur aik aisa khayal jiski urdu shairi main doosri misaal dhoonde se bhi nahin milegi. ],


KHWAB KYA HAI,,,

KHWAB KYA HAI IK KHANDAR HAI, YE KHANDAR KITNA HASEE'N,

IS KHANDAR MAIN, SAIR KARNE KE LIYE AATA HAI WO.

IBRAHIM ASHK.

[khwab aik khandar ki tarah hai , khandar khoobsoorat nahin hote lekin ye khwab ka khandar isliye khoobsoorat ban pada hai ke is khwab ke khandar main mera mehboob sair karne ke liye aata hai. gehri manwiyat wala shaer hai.],

USKI KHUSHBOO SE MAHAK KAR PHOOL BAN JATA HAI DIL

MAUSAM-E-GUL KI TARAH AATA HAI WO JATA HAI WO,

IBRAHIM ASHK.,


FOR FILISTEEN

Main apne tamam sawa crore hindustani bhaiyo ke saath Gaza main  filisteeni awam aur bachchon par hone wale zulm-o-situm ki bharpoor mazammat karta hoon aur tamam aalmi biradari se yahudiyon ke khilaf action lene ki darkhwast karta hoon.    Ibrahim Ashk, Film lyricist And poet, India.

Monday 14 July 2014

FILISTEENI BACHCHON KE JANAZE


Yadgaar tasweeren


Ghazal


FILISTEENI BACHCHON KA MARSIYA

YE LASHEN ,,,
FILISTEENI BACHCHON KI LASHEN,
JO AB MAUT KI GOD MAIN SO RAHE HAIN.
INHEN KYA PATA THA INHEN KYA KHABAR THI,
KE JANNAT KE JAISE GHARONDON PE INKE,
WO QATIL YAHUDI,WO WAHSHI DARINDE,
KARENGE WO BARISH BAMON KI YAHAN PAR,
JAHA'N AMN HI AMN CHARON TARAF THA.
JAHA'N NANHE HAATHON MAIN LEKAR KHILONE
KOEE APNE AANGAN MAIN BAITHA HUWA THA
KOEE GALERY MAIN CHAHAKNE LAGA THA
IDHAR RAQS MAIN BACHCHIYAN JHOOMTI THIN
WO HATHON SE JAISE FALAK CHHOO RAHI THIN
YE SAB JAISE MASTI MAIN DOOBE HUWE THE
YE GUDIYA, YE HATHI, YE GHODE, YE BANDAR,
YE SAARE KHILONE JO BEJAAN SE HAIN,
KE BACHCHON KE HATHON MAIN SAB JEE UTHE THE
AJAB IK KHUSHI KA SAMA'N THA YAHAN PAR
FARISHTON KI MEHFIL SAJI THI ZAMEE'N PAR.
WO QATIL YAHUDI WO WAHSHI DARINDE,
YE BACHCHON KI KHUSHIYAN NAHIN DEKH PAYE.
YAHAN BHEDIYON KI TARAH MAUT BANKAR JO AAYE
YE LASHEN,,, FILISTEEN BACHCHON KI LASHEN
JO DUNIYA KE MULKON SE YE KAH RAHI HAIN
KE AYE RAHNUMAO, KE AYE SABARAHO,
YE DAHSHAT TUMHEN KYUN NAHIN DIKH RAHI HAI ?
TUMHARI ZABA'N PAR KYUN TALE PADE HAIN ?
TARAFDAAR TUM BHI HO SHAITANIYAT KE,
HIMAYAT MAIN KITNE HAIN INSANIYAT KE ???

Sunday 13 July 2014

APNI HI SOORAT PE HANS KAR AAPNE YE KYA KIYA,

ACHCHHI KHASI AABROO IK AAINE KI LOOT LI.

Ibrahim Ashk,

اپنی ہی صورت پہ ہنس کر اپنے یہ کیا کیا

اچچھی خاصی آبرو اک آئنے کی لوٹ لی 

ابراہیم اشک 

Pattharon ki,,,,,

Pattharon ki hum pe baarish karke sab rukhsat huwe,

Hum ne daulat aaj saare dushmanon ki loot li.

Ibrahim Ashk.,

Dard ki aik hi hoti hai zaba'n duniya main,

Aik hi rang ke hote hain sabhi ke aansoo.

Ibrahim Ashk.,

BURJ KHALIFA DUBAI

BURJ KHALIFA, DUBAI 127 MANZIL KI YE IMARAT AASMAN KO CHHOOTI HUEE NAZAR AATI HAI JISE DEKH KAR KAHNA HI PADTA HAI........

FALAK KO CHHOONE LAGI HAIN IMARATEN LEKIN,

ZAMEEN KANP UTHEGI TO INKA KYA HOGA.?

IBRAHIM ASHK,


Saturday 12 July 2014

Dil phir nikal chala hai kisi ki talaash main,

Ik dast uske naam pe aabad ho gaya.

ibrahim ashk.

دل پھر نکل چلا ہے کسی کی تلاش میں.

اک دشت اسکے نام پہ آباد ہو گیا.

ابراہیم اشک. ,

Duniya mujhe sanbhal ke rakh hi nahin saki,

Aflak tha zameen pe barbad ho gaya.

ibrahim ashk.

دنیا مجھے سنبھال کے رکھ ہی نہیں سکی

افلاک تھا زمین پہ برباد ہو گیا 

ابراہیم اشک 

[is duniya main itna saliqa nahin tha ke wo mujhe theek se sanbhal kar rakh sakti. meri hasti to aik aasman ki tarah thi jo zameen par aakr barbad ho gaya ],

میری نظر کے سامنے سورج بھی ماند ہے 

دیکھا مجھے تو دیکھ کے ناشاد ہو گیا

ابراہیم اشک 

Meri nazar ke saamne sooraj bhi maand hai,

dekha mujhe to dekh ke nashad ho gaya.

ibrahim ashk.

.

Lipti hai gard-e-raah-e-safar

Lipti hai gard-e-raah-e-safar mere paun se,

har zarra jaise dard ki fariyaad ho gaya.

Ibrahim Ashk.

[Main jab apne watan se pardes ke liye nikla to mere raste ki gard jo mujhse muhabbat karti thi mere paun se lipat kar fariyad karne lagi ke main pardes na jaun. ] ,

لپٹی ہے گرد راہ سفر میرے پاؤں سے ،

ہر ذرّہ جیسے درد کی فریاد ہو گیا

ابراہیم اشک 

USKI IK DUNIYA HUN MAIN,,,

USKI IK DUNIYA HOON MAIN AUR MERI IK DUNIYA HAI WO,

DASHT MAIN TANHA HUN MAIN AUR SHAHR MAIN TANHA HAI WO.

Ibrahim Ashk.,

thokar Jana"n

Paun bahke hain to kis baat ki hairani hai,

Dhadkanen ishq main kha jati hain thokar jana'n.

Ibrahim Ashk.,

GUZRA DIL-E-TABAH SE...

GUZRA DIL-E-TABAAH SE KAISA YE KARWA'N,

AB JIS TARAF BHI DEKHIYE GARD-O-GHUBAAR HAI.

Ibrahim Ashk.,

Apna chehra dekhne ko...

Apna chehra dekhne ko phir rahe hain shahr main,

Koee to apne liye bhi aaina ho jayega.        --ibrahim ashk,


WO AIK LAMHA..

Wo aik lamha tarasti hai zindgi jisko,

Agar mile to sanbhale nahin sanbhalta hai.

Ibrahim Ashk.,

ALL INDIYA MUSHAIRA BHADRAK [ODISA]

YADGAR-E-FAIZ-O-FIRAQ KI YE MEHFIL JAB APNE SHABAB PAR AAEE TO IBRAHIM ASHK KO ANAUNCER ANWAR JALALPURI NE DAWAT-E-KALAM DI AUR JAB IBRAHIM ASHK NE APNA KALAM SUNANA SHURU KIYA TO MUSHAIRE MAIN MAUJOOD HAZARON SUNNE WALE UNHEN BARBAR APNI DAD SE NAWAZTE RAHE. MAZE KI BAAT YE HAI KE IS MUSHAIRE MAIN RAHAT INDORI PAHLE PADH CHUKE THE LEKIN WO JAM NAHIN PAYE THE. YE MUSHAIRA IBRAHIM ASHK NE LOOT LIYA THA UNKE GALE MAIN TO LOGON NE HAAR DAALE HI PHOOLON KI AISI BARISH KI KE SARA STAGE PHOOLON SE BHAR GAYA AUR MUSHAIRE KE SADR BEKAL UTSAHI NE MASNAD-E-SADARAT SE UTHKAR IBRAHIM ASHK KO GALE SE LAGA LIYA. ISKA VIDEO YOU TUBE PAR MAUJOOD HAI.

KACHCHA GHAR [ MASHHOOR NAZM ]


AAKHRI KHAT [ URDU ]


MAA-1, [ HINDI ]


MAA KI GREATNESS...

MAA JAISI MUHABBAT , NA MILEGI YARO.

MAA JAISI INAYAT , NA MILEGI YARO,

MIL JAYEGI HAR CHEEZ JAHA'N MAIN LEKIN,

MAA JAISI HAQEEQAT, NA MILEGI YARO.

IBRAHIM ASHK.

[ IS RUBAEE KI KHOOBI YE HAI KE ISMEN AIK KHAS TAJRUBA BHI HAI YAANI ISME SIRF QAFIYE KA HI AIK LAFZ BADALTA HAI. ,YAANI MUHABBAT, INAYAT AUR HAQEEQAT BAQI POORI LINE AS IT IS HI RAHTI HAI.]

Ude to aasma'n na tha,,,

Ude to aasma'n na tha, gire to ye zamee'n na thi,

Hadon se is qadar badhe, ke phir na kuchh pata mila.

Ibrahim Ashk.,

Gham-e-hayat ka dariya....

Gham-e-hayat ka dariya hai is qadar gehra,

Hazaron baar yahan doob kar ubharna hai.

Ibrahim Ashk.,

Friday 11 July 2014

Ghar ka aik kona...

Tum jise kaynaat kahte ho,

Wo mere ghar ka aik kona hai.

Ibrahim Ashk.,

kaee manzilon ne gher liya

Chale to humko kaee manzilon ne gher liya,

hujoom aisa laga tha ke rasta na mila.

ibrahim ashk,

Uske badan ka loch,,,

Uske badan ka loch tha dariya ki mauj main,

Sahil se main bahaw ko takta hi rah gaya.

ibrahim ashk.,

TAKSALI ZABAN

SHARABON SE BHARE PYALE MUJHE TAKNE KI AADAT HAI,

BADAN BHEEGA,RASEELE HONT, NAYNA MADBHARE RAKHIYO.

IBRAHIM ASHK.

[ "meer" ne dilli ki taksali zabaan ka khoob istemaal kiya hai, maine bhi kabhi kabhi munh ka maza badalne ke liye is zabaan ka istemal kiya hai unhin ghazlon main se aik shaer yahan pesh kar raha hun jismen bharpoor manviyat hai aur agar is shaer ko ghaur se padha jaye to bada lutf dega, mafhoom kuchh yun hai ke aashiq apne mahboob se kah raha hai ke mujhe sharabon se bhare pyale peene se zyada takne ka shauq hai isliye tum sharab ke pyale ki tarah apne badan ko bheega huwa, hont ko raseele aur aankhon ko hamesha madbhari rakhna take main in sabko badastoor takta rahoon. },

Tejhe hum jeet len,,,

TUJHE HUM  JEET  LEN  IS  ZINDGI  MAIN,

PHIR  USKE  BAAD  APNI  HAAR  LIKH DEN.

IBRAHIM ASHK.,

GHAZAL-- JAANAN


MAA--HINDI

माँ ज़मीं बनाई है जिसने फ़लक बनाया है, कि मेह्रो-माह की तख़लीक जिसने की यारो, वो छुप के बैठ गया माँ के एक परदे में, सलाम उसपे कि जो माँ है सारे आलम की है जिसके कोख से तख़लीक नस्ल-ए-आदम की। ख़ुदा की ज़ात ने ख़ालिक जिसे बनाया है। उसीने क़ौम के पैग़म्बरों को जन्म दिया, उसी से दीन है ईमान और मज़हब है, उसी के फ़ैज़ से सारा जहाँ मुहज़्ज़ब है। उसी की ज़ुल्फ़ का साया है आसमाँ की तरह, वही है छाँव कड़ी धूप में दरख्तों की, हर एक क़ौम पनपती है उसके साये में, हरेक मुल्क चहकता जवान होता है। उसी की गोद में सारा जहान सोता है। कभी जो मीठे सुरों में वो गुनगुनाती है, सुरूरो कैफ़ बिखरता है सारे आलम में, समंदरों के तलातुम ठहरने लगते हैं, कि थमने लगती हैं मौजें हरेक दरिया की, कि आबशार भी मस्ती में गुनगुनाते हैं, हरेक डाल पे पंछी भी झूम उठते हैं। हवाएँ उसकी सदा में सदा मिलाती हैं, फ़ज़ाएँ लोरियाँ उस माँ के साथ गाती हैं। कि उसके बच्चे को क़ुदरत सुलाने आती है। लबों पे उसके तराने हैं ज़िन्दगानी के, ज़बाँ से प्यार का अमृत बरसता रहता है, नज़र में मेह्रो-मुहब्बत के चाँद तारे हैं, जबीं है जैसे कि अज़्मत का आफ़ताब कोई, जहाँ का हुस्न है पिन्हाँ उसी की सूरत में, छुपा हुआ है खुदा माँ की अस्ल सूरत में। वो माँ की ममता जिसकी न कोई तोल सका कोई भी उसकी तरह प्यार से न बोल सका। हरेक दर्द जो सहती है दुख उठाती है, मिटा के खुद को जो औलाद को बनाती है। किसीके पास ये ईसार ये वफ़ा ही नहीं, जो माँ के पास है औरों में वो अदा ही नहीं। इसीलिए तो जहाँ में अज़ीमतर माँ है, खुदा के बाद इबादत का एक दर माँ है, मेरा यक़ीन है जन्नत है माँ के क़दमों में, खुदा की सारी इनायत है माँ के क़दमों में।

NAZM --MA A--1

ZAMEE'N BANAEE HAI JISNE FALAK BANAYA HAI,
KE MEHR-O-MAAH KI TAKHLEEQ JISNE KI YAARO,
WO CHHUP KE BAITH GAYA MAA KE AIK PARDE MAIN.
SALAAM USPE KE JO MAA HAI SAARE AALAM KI.
HAI JISKI KOKH SE TAKHLEEQ NASL-E-ADAM KI.
KHUDA KI ZAAT NE KHALIQ JISE BANAYA HAI.
USI NE QAUM KE PAIGHAMBARON KO JANM DIYA
USI SE DEEN HAI IMAAN AUR MAZHAB HAI,
USI KE FAIZ SE SARA JAHA'N MUHAZZAB HAI.
USI KI ZULF KA SAAYA HAI AASMA'N KI TARAH,
WAHI HAI CHHAUN KADI DHOOP MAIN DARAKHTON KI,
HAR AIK QAUM PANAPTI HAI USKE SAAYE MAIN.
HAR AIK MULK CHAHAKTA JAWAAN HOTA HAI.
USI KI GOD MAIN SARA JAHAN SOTA HAI.

KABHI JO MEETHE SURON MAIN WO GUNGUNATI HAI.
SUROOR-O-KAIF BIKHARTA HAI SAARE AALAM MAIN.
SAMUNDARON KE TALATUM THAHARNE LAGTE HAIN.
KE THAMNE LAGTI HAIN MAUJEN HAR AIK DARIYA KI.
KE AABSHAAR BHI MASTI MAIN GUNGUNAATE HAIN.
HAR AIK DAAL PE PANCHHI BHI JHOOM UTHTE HAIN.
HAWAYEN USKI SADA MAIN SADA MILATI HAIN.
FIZAYEN LORIYAN US MAA KE SAATH GAATI HAIN.
KE USKE BACHCHE KO QUDRAT SULANE AATI HAI..

LABON PE USKE TARANE HAIN ZINDGANI KE,
ZABA'N SE PYAAR KA AMRIT BARASTA RAHTA HAI.
NAZAR MAIN MEHR-O-MUHABBAT KE CHAAND TARE HAIN.
JABI'N HAI JAISE KE AZMAT KA AAFTAB KOEE,
JAHA'N KA HUSN HAI PINHA'N USI KI SOORAT MAIN,
CHHUPA HUWA HAI KHUDA MAA KI ASL MOORAT MAIN.

WO MAA KE MAAMTA JISKI NA KOEE TOL SAKA.
KOEE BHI USKI TARAH PYAR SE NA BOL SAKA.
HAR AIK DARD JO SAHTI HAI DUKH UTHATI HAI.
MITA KE KHUD KO JO AULAD KO BANATI HAI.
KISIKE PASS YE EESAR YE WAFA HI NAHIN,
JO MAA KE PAAS HAI AURON MAIN WO ADA HI NAHIN.
ISILIYE TO JAHA' MAIN AZEEMTAR MAA HAI.
KHUDA KE BAAD IBADAT KA AIK DAR MAA HAI.
MERA YAQEEN HAI JANNAT HAI MAA KE QADMON MAIN.
KHUDA KI SAARI INAYAT HAI MAA KE QADMON MAIN.

Thursday 10 July 2014

na jaane kab,,,

NA JAANE KAB KISI KE KHWAB SE YE DIL DHADAK JAAYE,

AGAR SONE LAGO TO HAATH SEENE PAR DHARE RAKHIYO.

IBRAHIM ASHK.,


MAA KI MAHANTA....

SAHIB HAIN APNI JAGAH, MAA KA APNA MAAN,

PHIR SAHIB KO JANNA , PAHLE MAA KO JAAN.

IBRAHIM ASHK.

[is dohe main maa ki mahanta ka greatness ka bayan kiya gaya hai. sufiism main god ko khuda ko ishwar ko sahib kaha gaya hai isliye is dohe main kaha gaya hai ke sahib yani god ka apna maan samman hai aur maa ka apna muqam hai jab tak aap maa ki greatness ko nahin samajhte tab tak god ki greatness tak pahunchna ya use jaanna namumkin hai. isliye zaroori hai ke maa ki greatness ko pahle samjha jaye. ]

SOORAJ TO MERE

SOORAJ TO MERE ZAKHM SE LETA HAI ROSHNI,

AATA HAI ROZ SUBH MUJHE DHOONDTA HUWA.

IBRAHIM ASHK.,

SAMUNDAR BHI PYASA,,,,,,,,,,

HAR IK MAUJ SAHIL PE SAR MARTI HAI,

MUJHE TO SAMUNDAR BHI PYASA LAGA HAI.

IBRAHIM ASHK.

,

KISI KE KHWAB SE....

NA JANE KAB KISI KE KHWAB SE YE DIL DHADAK JAAYE,

AGAR SONE LAGO TO HAATH SEENE PAR DHARE RAKHIYO.

IBRAHIM ASHK.,

JO FASL,,,

JO FASL MAINE BOEE WO KATI NAHIN KABHI,

DAAMAN MAIN GHAIR KE MERI MEHNAT KE PHAL GAYE.

IBRAHIM ASHK.,

DARIYA KI MAUJ,,,

USKE BADAN KA LOCH THA DARIYA KI MAUJ MAIN,

SAHIL SE MAIN BAHAV KO TAKTA HI RAH GAYA.

IBRAHIM ASHK.,

AIK SHAER

MAIN GIRKE IS JAHA'N MAIN KISI SE NAHIN MILA,

IS BANKPAN KO DEKH KE KUCHH LOG JAL GAYE.

IBRAHIM ASHK.,

2 ASHAAR

YE NA DEEWANE SE POOCHO ZINDGI KAISI RAHI,

JO BACHI KAT JAYEGI, JO KAT GAEE ACHCHI RAHI.


ROZ IK SHAHR-E-TAMANNA JAL KE VIRANA HUWA,

ROZ IK BASTI NAEE UMMEED KI BASTI RAHI.,

IBRAHIM ASHK,

AIK SHAER

WO AIK SHAKHS JO IK ANJUMAN THA MERE LIYE,

GAYA TO DE GAYA SAARE JAHA'N KI TANHAEE,

IBRAHIM ASHK.,

AIK SHAER

BESABAB DIL KE DHADAKNE MAIN CHHUPI HAI ZINDGI,

AIK LAMHA BHEEG KAR YE RAAZ SAMJHANE LAGA.

IBRAHIM ASHK.

AIK SHAER

BEKHUDI MAIN AZM KI PATWAR MAINE THAM LI,

RAAH MAIN PHIR JO BHANWAR AAYA KINARA BAN GAYA,

IBRAHIM ASHK.,

AIK SHAER

KOEE DIL SE TO MILE MAIN HOON SARAPA IKHLAS,

BEWAFON MAIN HAI MASHHOOR ANA BHI MERI.

IBRAHIM ASHK.,

AIK SHAER

AABAD AB TALAK HAI KOEE GOSHA-E-WAJOOD,

RAH RAH KE WARNA UTHTA HUWA YE DHUNWA HAI KYA.

IBRAHIM ASHK.,

AAKHRI KHAT HINDI DESIGN


NAZM TAJMAHAL [URDU ]


NAZM: AAKHRI KHAT

[ye nazm maine "Ghalib" aur "Meer" ki Delhi chhodte waqt kahi thi jise baad main Ghazal singar Chandan Dass ne gaaya aur itni super hit huee ke unki pahchaan ban gaee.You Tube par iska video maujood hai lekin usmen nazm ke 3 hi band shamil hain jabke poori nazm main 4 band hain, Aaj main wo charon band yahan pesh kar raha hun, nazm mulaheza ho. ]

AAKHRI KHAT HAI MERA......

AAKHRI KHAT HAI MERA,
JISPE HAI NAAM  TERA,
AAJ KE BAAD KOEE KHAT NA LIKHUNGA TUJHKO.

TUJHKO DAR HAI TERI RUSWAI KA, BADNAMI KA,
MUJHSE KYA KHOOB YE UMMID RAKHI HAI TOONE.
MERA KYA HOGA TUJHE ISKA KOEE PASS NAHI,
APNE HISSE MAIN TO HAR EID RAKHI HAI TOONE.
KHUSH RAHE TOO KOEE ILZAAM NA DOONGA TUJHKO,
AAJ KE BAAD KOEE KHAT NA LIKHUNGA TUJHKO.

BHOOL JAUNGA TUJHE YE TO NAHIN KAH SAKTA,
DILPE CHALTA HAI KAHAN ZOR MUHABBAT KARKE.
PHIR BHI IS BAAT KI LETA HUN QASAM AYE HUMDAM,
MAIN NA TADPAUNGA TUJHKO KABHI NAFRAT KARKE.
BEWAFA TOO HAI KABHI MAIN NA KAHUNGA TUJHKO.
AAJ KE BAAD KOEE KHAT NA LIKHUNGA TUJHO.

YAAD BHEEGE HUWE LAMHON KI SATAYEGI AGAR,
AAP APNE SE KAHIN DOOR NIKAL JAUNGA.
ITTEFAQAN BHI AGAR TUJHSE MULAAQAT HUEE,
AJNABI BANKE TERI RAAH SE TAL JAAUNGA.
DIL TO CHAHEGA PAR AAWAZ NA DOONGA TUJHKO.
AAJ KE BAAD KOEE KHAT NA LIKHUNGA TUJHKO.

YE TERA SHAHR YE  GALIYAN DAR-O-DEEWAR YE GHAR,
MERE TOOTE HUWE KHWABON KI YAHI JANNAT HAI.
KAL YE SAB CHHOD KE JANA HAI BAHUT DOOR MUJHE,
JIS JAGAH DHOOP HAI SAHRA HAI MERI QISMAT HAI.
YAAD MAT KARNA MUJHE AB NA MILOONGA TUJHKO.
AAJ KE BAAD KOEE KHAT NA LIKHUNGA TUJHKO.

AAKHRI KHAT HAI MERA, JISPE HAI NAAM TERA,
AAJ KE BAAD KOEE KHAT NA LIKHUNGA TUJHKO
IBRAHIM ASHK.

3 Ashaar

KOEE QATIL HI MILE HAI NA MASIHA KOEE.

DEKH KITNA HAI BHARE SHAHR MAIN TANHA KOEE.

DHOOP HI DHOOP MUJE DI HAI JHULASNE KE LIYE,

CHHEEN KAR LE GAYA MUJHSE MERA SAAYA KOEE.

SAKHT RAHON SE MAIN IS TARAH GUZAR JATA HOON,

JAISE PARBAT SE GUZAR JATA HAI DARIYA KOEE.

IBRAHIM ASHK..

Wednesday 9 July 2014

ABU-DHABI

KHALIFA PARK ABU-DHABI MAIN APNE GRAND SONS ABDUL HAADI AUR MOHAMMAD TAHA KE SAATH GARDEN TRAIN MAIN

GAUN MERA

SHAHR KI SADKEN PAGDANDI BAN JAATI HAIN,
GAUN MERA JAB AANKHON MAIN LAHRATA HAI
IBRAHIM ASHK.

JATI HUEE RUTON KO MANANE KI CHAAH MAIN,

SOOKHE HUWE DARAKHT JADON SE UKHAD GAYE

IBRAHIM ASHK

जाती हुई रूतों को मनाने की चाह में,

सूखे हुए दरख़्त जड़ों से उखड गए.

इब्राहीम अश्क  ,

Nazm TAJMAHAL

SANG-E-MARMAR PE MUHABBAT KI GHAZAL HAI HUMDAM.
KITNA DILKASH YE HASEE'N TAJMAHAL HAI HUMDAM.

LOG KAHTE HAIN HASEE'N KHWAB KI TABEER JISE-
DIL PE RAKKHI HUEE WO ISHQ KI BUNIYAAD HAI YE.
RAH GAEE DARD KI KHAMOSH IMARAT BANKAR,
APNE BICHHDE HUWE MAHBOOB KI WO YAAD HAI YE.

JAB KOI PAHLA QADAM RAKHTA HAI ISKE DAR PAR,
AISA LAGTA HAI KE MANZIL KE QAREEB AAYA HAI.
DIL MAIN UTHTE HAIN UMANGON KE HAZARON TOOFA'N
ZINDGI JHOOM KE KAHTI HAI KE KUCHH PAYA HAI.

AUR JAB UTHKE THAHARTI HAIN NIGAAHEN ISPAR
TAAJ IK PAL MAIN HAR IK DIL MAIN UTAR JATA HAI.
JANE KABTAK  WO ISE YUNHI TAKA KARTE HAIN,
JANE KABTAK KE LIYE WAQT THAHAR JATA HAI.

YE WO WADI HAI KE DILKASH HAI YAHAN KI HAR CHEEZ,
JO BHI AAYA HAI MUHABBAT SE YAHAN BHEEG GAYA.
YUN TO KITNE HI MUQAMAAT THE LEKIN HUMDAM,
KOEE TO BAAT THI JO TAAJ  YAHAN PAR HI BANA.

SANG-E-MARMAR KI YE PAKIZA IMARAT HUMDAM,
ROOH KI TARAH KINAARE PE KHADI HAI KHAMOSH.
JAISE US PAAR SE IS PAAR KOEE AAYEGA,
AUR KAR LEGA MUHABBAT SE ISE HUM-AAGHOSH.

APNE HONTON SE GAGAN CHOOMTE OONCHE GUMBAD,
AIK INSAAN KI AZMAT KA PATA DETE HAIN.
JO GUZARTE HAIN MUHABBAT KI KATHIN RAHON SE,
AASMANON SE ZAMEENON KO MILA DETE HAIN.

YE TARASHI HUEE BELEN, YE HASEE"N MEHRABEN
KOEE KHAMOSH MUHABBAT KI ZABA'N HO JAISE.
AUR MUNH BOLTE PATTHAR KI YE SAB DEEWAREN,
AIK FUNKAR KA ANDAZ-E-BAYA'N HO JAISE.

YE CHAMANZAAR MAIN JO PHOOL KHILE HAIN HUMDAM,
TAZGI INKI ZAMANE MAIN MILEGI NA TUJHE.
IK SHANSHAH NE JIS TARAH MUHABBAT KI HAI,
SAARI DUNIYA KE FASAANE MAIN MILEGI NA TUJHE.

CHAND KE AKS SE PURNOOR YE MARMAR KA BADAN,
YAAD US TOOR KE JALVE KI DILA JATA HAI.
YE WO MARKAZ HAI MUHABBAT KA JAHA'N PAR AKSAR,
KOEE BANDE KO KHUDA SE BHI MILA JATA HAI.

AA YAHIN BAITH KE KUCHH PYAAR KI BAATEN KAR LEN,
TAAJ MERAAJ HAI HUM SAB KI MUHABBAT KE LIYE.
DIL MAIN JO PHOOL KHILE HAIN WO CHADHAYEN HUMDAM,
AIK MUMTAZ KE ROZE PE AQEEDAT KE LIYE.

TAAJ TO SIRF MUHABBAT HI BANA SAKTI HAI,
KAHIN DAULAT SE BHI SHEHKAR BANA HAI "SAHIR " ?
DIL KI AANKHON SE ISE DEKH KE KYA CHEEZ HAI YE,
TANZ KARNE SE KAHIN TAAJ MITA HAI "SAHIR" ?

Tuesday 8 July 2014

Aye tanhaee

AAJ AKELE BAITH KE SABKO YAAD KIYA,
LEKIN MAIN KHUD YAAD NA AAYA AYE TANHAEE.
IBRAHIM ASHK.

आज अकेले  बैठ के सबको याद किया ,
लेकिन मैं खुद याद न आया ए  तनहाई .
इब्राहीम अश्क