Sunday 31 August 2014

Tuesday 26 August 2014

NIRALE ISHQ KE BAAB......

JO MAINE AAJ TAK LIKKHE NAHIN HAIN,

NIRALE ISHQ KE WO BAAB HAIN SAB.

IBRAHIM ASHK,

Wednesday 20 August 2014

Saturday 16 August 2014

YADGAR TASWEEREN


PALAT KE DEKHA.....

PALAT  KE  DEKHA  TO  QATIL  NAHIN  THA  KOEE  MERA,

MAIN   APNE  HAATH  KE  KHANJAR  SE  KAT  KE  AAYA  HOON.

IBRAHIM ASHK. ,

KISI NE PYAAR SE DEKHA...

KISI  NE  PYAAR  SE  DEKHA  TO  YE  HUWA  MEHSOOS,

MAIN  KAAYNAT  KO  JAISE  ULAT  KE  AAYA  HOON,

IBRAHIM ASHK.,

YAAR BICHHDA HUWA.....

KOEE  TASWEER  PURANI  SI  NAZAR  AATI  HAI,

YAAR  BICHHDA  HUWA  PAHCHAAN  MAIN  AA  JATA HAI.

IBRAHIM ASHK.,

CHAND JAISE MERE DALAN MAIN......

SHAM  HOTI  HAI  TO  CHUPKE  SE  BULANE  MUJHKO,

CHAND  JAISE  MERE  DAALAAN  MAIN  AA  JATA HAI.

IBRAHIM ASHK.,

DHYAN MAIN AA JATA HAI....

BAITHE  BAITHE  JO  KOEE  DYAN MAI  AA  JATA  HAI,

PHOOL KOEE  MERE  GULDAN  MAIN  AA  JATA  HAI.

IBRAHIM ASHK,

GHAZAL MEER KI ZAMEEN MAIN.......


Friday 15 August 2014

RUBAIYAAT


HUM BHI RAKHTE NAHIN MISAAL,,,,,


SHAHR KI AABADIYON KO DEKHKAR,,,

SHAHR  KI  AABADIYON  KO  DEKH  KAR,

YAAD  AAYA  ROZ-E-MEHSHAR  BEKARA'N.

IBRAHIM ASHK.,

MAUJ HAI IK SABKE ANDAR,,,,

PHOOL, TITLI, RANG, KHUSHBOO, AUR HAWA,

MAUJ  HAI  IK  SAB  KE  ANDAR  BEKARA'N.

IBRAHIM ASHK.,

MAIDAN-JANG,,,

JINDGI  HAI  YA  KOEE  MAIDAN-E-JUNG,

AADMI  KHUD  AIK  LASHKAR  BEKARA'N.

IBRAHIM ASHK.,

,

APNE ANDAR APNE BAAHAR,,,,,

MAIN KE APNI AAG MAIN JALTA HUWA,

APNE ANDAR, APNE BAHAR  BEKARA'N.

IBRAHIM ASHK.,

AIK LAMHA AUR,,,,,

AIK   LAMHA   AUR   ITNI  WUSATEN,

,KITNI  SADIYAN  ISKE  ANDAR  BEKARA'N.

IBRAHIM ASHK.

MANZIL AUR KITNI DOOR HAI,,,,,

CHALTE  CHALTE  HO  GAEEN  UMREN  TAMAAM,

APNI MANZIL  AUR  KITNI  DOOR  HAI.

IBRAHIM ASHK.,

Thursday 14 August 2014

HAPPY 15 AUGUST

http://m4k.in/wp-content/uploads/2014/01/Republic-Day-Speech.jpg  

HAPPY     INDEPENDENCE      DAY

MASH-AL BAKAF KABHI......


TALAB KI RAH THI...


ZERE SHAMSHEER.......


SEEKHTA HAI YE SAMUNDAR,,,,,,

SEEKHTA  HAI  YE  SAMUNDAR  HUM  SE,

MAUJ  MAIN  AA  KE  BIPHARTE   JAANA.

Ibrahim Ashk.,

MUHABBAT DIL MAIN....

HUM  BHI  RAKHTE  HAIN  MUHABBAT  DIL  MAIN,

BAAT  KARNA  HAI  TO  KARTE  JAANA.

Ibrahim Ashk.,

MUDDATON BAAD...

MUDDATON  BAAD  YE  FUN  AAYA  HAI,

ZINDA  RAHNA  HAI  TO  MARTE  JAANA.

Ibrahim Ashk.,

AAG LAGI HAI DIL MAIN.....

ISHQ  KI  AAG  LAGI  HAI  DIL  MAIN ,

KAAM  APNAA  HAI  NIKHARTE  JANA.

Ibrahim Ashk.,

SOORAJ KI TARAH,,,,

ROZ IK SUBH KE SOORAJ KI TARAH,

WADI-E-GHAM  SE UBHARTE  JANA.

IBRAHIM ASHK.,

Wednesday 13 August 2014

ZINDGI TASHNAGI.....

ZINDGI  TISHNAGI  HAI  YE  LEKIN,

ZINDGI  KA  NASHA  BHI  HOTA  HAI.

Ibrahim Ashk.,

INSAAF ZAMANE MAIN,,,,,,

IS RUBAEE MAIN AIK KHAS TAJURBA YAH HAI KI HAR LINE MAIN SIRF QAFIYA HI BADALTA HAI BAAQI POORI LINE AIK JAISI HI RAHTI HAI . YE RUBAEE SIRF KAHIN, NAHIN, AUR YANHIN, QAFIYON SE MAANI PAIDA KARKE TAKHLEEQ KI GAEE HAI.

RUBAEE ...DUNIA HOJAA.....


TAJURBAATI RUBAAEE....

IS RUBAAEE MAIN AIK KHAS TAJURBA YE HAI KE ISKI HAR LINE MAIN 2-2 QAFIYE HAIN JAISE GHAR AUR FARZANE,,DAR AUR MASTANE,,SAR AUR DEEWANE.. RUBAEE MAIN AISE TAJURBAAT KAM HI DEKHNE KO MILTE HAIN......IBRAHIM ASHK.

PARINDE KI IK UDAAN....


"HINDU" LAFZ KI ASLIYAT......

"HINDU" LAFZ NA TO VED PURAN MAIN MILTA HAI NA HI WALMIKI RAMAYAN,GEETA AUR MAHA BHARAT MAIN PHIR KATTAR PANTHIYON KA IS LAFZ PAR ITNA ZOR KYUN HAI ? AUR IS LAFZ KI ASLIYAT YAH HAI KE YE LAFZ "IRAN" JAISE MUSLIM DESH AUR FARSI ZABAAN KA DIYA HUWA HAI. YE HAQEEQAT JANNE KE BAAD KATTAR PANTHI KYA MUSALMANON AUR MUSLIM DESHON SE UTNA HI PYAAR KARENGE JITNA UNKE DIYE HUWE "HINDU" LAFZ SE KARTE HAIN ? IS SAWAL PAR SANJEEDGI SE SOCHEN AUR KHULE DIL SE BAHAS KAREN......

Monday 11 August 2014

GHAZAB KA MIZAAJ.....

KYA  GHAZAB  KA  MIZAAJ   HAI  APNA,

RASHK  BANDE  SE  BAADSHAAH  KAREN,

Ibrahim Ashk.,

KAYNAAT HO USKI....

KYUN  NA  YE  KAAYNAAT  HO  USKI,

AAP  JISKI  TARAF  NIGAAH  KAREN.

Ibrahim  Ashk.,

ISHQ IBADAT HAI....I

ISHQ  TO  JAISE  IK  IBADAT  HAI,

ISHQ  KARNA  HAI, BEPANAAH  KAREN.

Ibrahim Ashk.,

JO NA MIL PAYE...

JO  NA  MIL  PAYE  HUMKO  DUNIYA  MAIN,

DIL  YE  KAHTA  HAI  USKI  CHAH  KAREN.

Ibrahim Ashk.,

ZINDGI TABAAH KAREN...

HUM  DIWAANON  KA  YE  MUQADDAR  HAI,

ISHQ  MAIN  ZINDGI  TABAAH  KAREN.

Ibrahim Ashk.,

GUNAAH KAREN....

AAJ  FURSAT  MILI  HAI  JEENE  KI,

AAJ  KE  DIN  KOEE  GUNAAH  KAREN.

Ibrahim Ashk.,

CHEHRA KISI KA...

CHEHRA KISI KA JAB MERE SAGHAR MAIN AAGAYA,
SARA JAHAN AIK HI MANZAR MAIN AA GAYA.
IBRAHIM ASHK — with Chandra Shekhar Pandey and 12 others.

Photo: CHEHRA KISI KA JAB MERE SAGHAR MAIN AAGAYA,
SARA JAHAN AIK HI MANZAR MAIN AA GAYA.
IBRAHIM ASHK

RUBAIYAN


Sunday 10 August 2014

KAYNAAT KI HAD SE PARE....

JANA THA KAAYNAAT KI HAD SE PARE HAMEN,

GHAR SE CHALE TO APNE FALAK PAR QADAM RAHE.

IBRAHIM ASHK.,

PATTHAR TARASHNA....

AAYA HAI ISLIYE MUJHE PATTHAR TARASHNA,

DEKHA KE HAR CHATAAN MAIN APNA SANAM RAHE.

IBRAHIM ASHK.,

WO MERI AANKHON MAIN KAM RAHE......

BARSON RAHA HAI UNKA TASAWWUR NAIGAAH MAIN,

LAGTA HAI PHIR BHI WO MERI AANKHON MAIN KAM RAHE.

IBRAHIM ASHK.,

LAL-O-GUHAR KE DIL MAIN KHAZARE HAZAAR HAIN.
HUM TERE GHAM KE AAJ BHI SARMAYADAAR HAIN.

HAR ROZ JAISE HUMKO BADALTI HAI ZINDGI,
HAR ROZ HUM GULON KI TARAH TAZAKAR HAIN.

DUNIYA KI KYA MAJAL KE DETA KOEE FAREB,
APNI HI AARZOO KE HUWE HUM SHIKAR HAIN.

TERI NIGAAH-E-NAAZ NE RAKKHA HAI SAR BULAND,
TERI WAFA KE NAAM SE HUM BAAWAQAR HAIN.

IS BAAR SHSHR-E-DIL MAIN BAHUT BAARISHEN HUEEN,
DARIYA GHAM-E-HAYAAT KE SAB BEKINAAR HAIN.

KIS-KIS SE HUM KAHEN KE NA JAYE UDHAR KOEE,
JIS RASTE MAIN ISHQ KE UJDE DAYAAR HAIN.

MAIN ZAKHM-E-AARZOO HUN SARAPA HUN AAFTAB,
MERI ADA-ADA MAIN SHUWAYEN HAZAAR HAIN.

CHHOO LENGE TERA JISM TO KHILTE RAHENGE PHOOL,
SHAHR-E-WAFA MAIN ISHQ KE HUM DASTKAR HAIN.
IBRAHIM ASHK.
Photo: LAL-O-GUHAR KE DIL MAIN KHAZARE HAZAAR HAIN.
HUM TERE GHAM KE AAJ BHI SARMAYADAAR HAIN.

HAR ROZ JAISE HUMKO BADALTI HAI ZINDGI,
HAR ROZ HUM GULON KI TARAH TAZAKAR HAIN.

DUNIYA KI KYA MAJAL KE DETA KOEE FAREB,
APNI HI AARZOO KE HUWE HUM SHIKAR HAIN.

TERI NIGAAH-E-NAAZ NE RAKKHA HAI SAR BULAND,
TERI WAFA KE NAAM SE HUM BAAWAQAR HAIN.

IS BAAR SHSHR-E-DIL MAIN BAHUT BAARISHEN HUEEN,
DARIYA GHAM-E-HAYAAT KE SAB BEKINAAR HAIN.

KIS-KIS SE HUM KAHEN KE NA JAYE UDHAR KOEE,
JIS RASTE MAIN ISHQ KE UJDE DAYAAR HAIN.

MAIN ZAKHM-E-AARZOO HUN SARAPA HUN AAFTAB,
MERI ADA-ADA MAIN SHUWAYEN HAZAAR HAIN.

CHHOO LENGE TERA JISM TO KHILTE RAHENGE PHOOL,
SHAHR-E-WAFA MAIN ISHQ KE HUM DASTKAR HAIN.
IBRAHIM ASHK.

DEEWAN AISA GHAZAL KA....

AALA ADAB MAIN RASHK SE DEKHA GAYA JISE,

DEEWAN AISA "ASHK " GHAZAL KA MERA BHI HAI.

IBRAHIM ASHK.,

SAJDA MERA BHI HAI...

KYA-KYA ZAMI'N PE NAQSH  BANAAYE HAIN CHAR SOO,

HAR IK QADAM PE ISHQ MAIN SAJDA MERA BHI HAI.

IBRAHIM ASHK. ,

CHARCHA MERA BHI HAI...

DEEWANAWAR  JISKO SUNAATE HAIN AHL-E-DIL,

SHAHR-E-WAFA MAIN AAM WO CHARCHA MERA BHI HAI.

IBRAHIM ASHK.


DARD KA RISHTA...

LOGON KA DUKH BHI APNE HI DUKH KI TARAH LAGA,

HAR IK SE JAISE DARD KA RISHTA MERA BHI HAI.

IBRAHIM ASHK.,

RUTBA MERA BHI HAI...

MANA GHAREEB-E-SHAHR HUN LEKIN BIKA NAHIN,

SAB LOG JAANTE HAIN KE RUTBA MERA BHI HAI.

IBRAHIM ASHK.,

RASTA MERA BHI HAI,,,

MAIN BHI SAFAR MAIN HUN, MUJHE MANZIL KI HAI TALASH,

TERA NAHIN HAI SIRF, YE RASTA MERA BHI HAI.

IBRAHIM ASHK.,

SOORAJ AGAR NAHIN HAI...

SOORAJ AGAR NAHIN HAI TO ZARRA MERA BHI HAI,

IS BAZM-E-KAYNAAT MAIN HISSA MERA BHI HAI.

IBRAHIM ASHK.,

Thursday 7 August 2014

Wednesday 6 August 2014

QALANDARANA SHAER
YE GHAZAL CHANDANDASS NE GAAEE HAI AUR GHAZAL KI MEHFILON MAIN SUPERHIT HAI APNE TAMAM DOSTON KI KHIDMAT MAIN PESH HAI.

Saturday 2 August 2014

PENAAZ MASANI KA GAYA HUWA NAGHMA


TALAT MEHMOOD KI GAAI HUEE GHAZAL

YE GHAZAL TALAT MEHMOOD SAHAB NE APNI AAWAZ MAIN RECORD KI THI JISE HMV [SAREGAMA] NE DILIP KUMAR KE HATHON SE RELEASE KARWAYA THA. YE TALAT MEHMOOD KI GHAZLON KA AAKHRI RECORD THA.