Sunday 10 August 2014

LAL-O-GUHAR KE DIL MAIN KHAZARE HAZAAR HAIN.
HUM TERE GHAM KE AAJ BHI SARMAYADAAR HAIN.

HAR ROZ JAISE HUMKO BADALTI HAI ZINDGI,
HAR ROZ HUM GULON KI TARAH TAZAKAR HAIN.

DUNIYA KI KYA MAJAL KE DETA KOEE FAREB,
APNI HI AARZOO KE HUWE HUM SHIKAR HAIN.

TERI NIGAAH-E-NAAZ NE RAKKHA HAI SAR BULAND,
TERI WAFA KE NAAM SE HUM BAAWAQAR HAIN.

IS BAAR SHSHR-E-DIL MAIN BAHUT BAARISHEN HUEEN,
DARIYA GHAM-E-HAYAAT KE SAB BEKINAAR HAIN.

KIS-KIS SE HUM KAHEN KE NA JAYE UDHAR KOEE,
JIS RASTE MAIN ISHQ KE UJDE DAYAAR HAIN.

MAIN ZAKHM-E-AARZOO HUN SARAPA HUN AAFTAB,
MERI ADA-ADA MAIN SHUWAYEN HAZAAR HAIN.

CHHOO LENGE TERA JISM TO KHILTE RAHENGE PHOOL,
SHAHR-E-WAFA MAIN ISHQ KE HUM DASTKAR HAIN.
IBRAHIM ASHK.
Photo: LAL-O-GUHAR KE DIL MAIN KHAZARE HAZAAR HAIN.

No comments:

Post a Comment