Friday 13 February 2015

APNA ALAG MAIYAAR HAI,,,,

===GHAZAL===
Talkhi-e-ahsaas-e-ghum ka baar hai
Zindgi aasa'n nahin dushwaar hai
koee toofa'n hai jaha'n main har taraf
Paaun se lipti huee manjhdaar hai
Har taraf Deewane hain Masnad-nashee'n
Kya niraala ishq ka darbaar hai
Jhad gaye sab baal-o-par to kya huwa
Aaj bhi udne ko dil tayyar hai
Aankh main simti huee hai kaaynaat,
Har nazara waadi-e-gulzaar hai.
Saans bhi ik thais hai dil ke liye,
Apni hasti Aaeena-bardaar hai.
Kitni dilkash hai jaha'n ki Anjuman,
Har koee apni jagah Funkaar hai
Raasta phir bhi bana lete hain hum,
Har qadam par chahe ik deewar hai.
Yun to shair hain jaha'n main sainkdon,
Haan magar, Apna alag Maiyaar hai.
IBRAHIM ASHK

No comments:

Post a Comment