Friday 13 February 2015

JISM PAR TAIRTA HUWA JADU,,,,

==GHAZAL==
IBRAHIM ASHK
Aarzoo kya hai iltija kya hai
Hum se poochho ke muddua kya hai
Ishq ke baad jaan jaoge
Ibtida kya hai, Inteha kya hai
Jaan kar bhi mite hi jaate hain
Kis se poochhen ye silsila kya hai
Un se mil kar ajeeb hai Aalam
Kuchh huwa hai, magar huwa kya hai
Bekhudi main kise hai yh maaloom
Dard kya cheez hai , Dawa kya hai
Chal rahe hain yh jaante hi nahin
manzilen kya hain , Rasta kya hai.
Jism par tairta huwa jaadoo,
aur iske siwa adaa kya hai
zakhm maange hai aur dil apna,
Charahgar humse poochhta kya hai ?
Hai asar to use duwa kahiye,
Beasar hai to wo duwa kya hai.
Aake shahr-e-wafa main jaan gaye,
Khushbuyen kya hain aur Hawa kya hai.
Azmat-e-shaer hum bhi rakhte hain,
Koee poochhe ke martaba kya hai.

No comments:

Post a Comment