Wednesday 9 July 2014

Nazm TAJMAHAL

SANG-E-MARMAR PE MUHABBAT KI GHAZAL HAI HUMDAM.
KITNA DILKASH YE HASEE'N TAJMAHAL HAI HUMDAM.

LOG KAHTE HAIN HASEE'N KHWAB KI TABEER JISE-
DIL PE RAKKHI HUEE WO ISHQ KI BUNIYAAD HAI YE.
RAH GAEE DARD KI KHAMOSH IMARAT BANKAR,
APNE BICHHDE HUWE MAHBOOB KI WO YAAD HAI YE.

JAB KOI PAHLA QADAM RAKHTA HAI ISKE DAR PAR,
AISA LAGTA HAI KE MANZIL KE QAREEB AAYA HAI.
DIL MAIN UTHTE HAIN UMANGON KE HAZARON TOOFA'N
ZINDGI JHOOM KE KAHTI HAI KE KUCHH PAYA HAI.

AUR JAB UTHKE THAHARTI HAIN NIGAAHEN ISPAR
TAAJ IK PAL MAIN HAR IK DIL MAIN UTAR JATA HAI.
JANE KABTAK  WO ISE YUNHI TAKA KARTE HAIN,
JANE KABTAK KE LIYE WAQT THAHAR JATA HAI.

YE WO WADI HAI KE DILKASH HAI YAHAN KI HAR CHEEZ,
JO BHI AAYA HAI MUHABBAT SE YAHAN BHEEG GAYA.
YUN TO KITNE HI MUQAMAAT THE LEKIN HUMDAM,
KOEE TO BAAT THI JO TAAJ  YAHAN PAR HI BANA.

SANG-E-MARMAR KI YE PAKIZA IMARAT HUMDAM,
ROOH KI TARAH KINAARE PE KHADI HAI KHAMOSH.
JAISE US PAAR SE IS PAAR KOEE AAYEGA,
AUR KAR LEGA MUHABBAT SE ISE HUM-AAGHOSH.

APNE HONTON SE GAGAN CHOOMTE OONCHE GUMBAD,
AIK INSAAN KI AZMAT KA PATA DETE HAIN.
JO GUZARTE HAIN MUHABBAT KI KATHIN RAHON SE,
AASMANON SE ZAMEENON KO MILA DETE HAIN.

YE TARASHI HUEE BELEN, YE HASEE"N MEHRABEN
KOEE KHAMOSH MUHABBAT KI ZABA'N HO JAISE.
AUR MUNH BOLTE PATTHAR KI YE SAB DEEWAREN,
AIK FUNKAR KA ANDAZ-E-BAYA'N HO JAISE.

YE CHAMANZAAR MAIN JO PHOOL KHILE HAIN HUMDAM,
TAZGI INKI ZAMANE MAIN MILEGI NA TUJHE.
IK SHANSHAH NE JIS TARAH MUHABBAT KI HAI,
SAARI DUNIYA KE FASAANE MAIN MILEGI NA TUJHE.

CHAND KE AKS SE PURNOOR YE MARMAR KA BADAN,
YAAD US TOOR KE JALVE KI DILA JATA HAI.
YE WO MARKAZ HAI MUHABBAT KA JAHA'N PAR AKSAR,
KOEE BANDE KO KHUDA SE BHI MILA JATA HAI.

AA YAHIN BAITH KE KUCHH PYAAR KI BAATEN KAR LEN,
TAAJ MERAAJ HAI HUM SAB KI MUHABBAT KE LIYE.
DIL MAIN JO PHOOL KHILE HAIN WO CHADHAYEN HUMDAM,
AIK MUMTAZ KE ROZE PE AQEEDAT KE LIYE.

TAAJ TO SIRF MUHABBAT HI BANA SAKTI HAI,
KAHIN DAULAT SE BHI SHEHKAR BANA HAI "SAHIR " ?
DIL KI AANKHON SE ISE DEKH KE KYA CHEEZ HAI YE,
TANZ KARNE SE KAHIN TAAJ MITA HAI "SAHIR" ?

2 comments:

  1. ANG-E-MARMAR PE MUHABBAT KI GHAZAL HAI HUMDAM.

    mukammal nazm aur behad khoobasoorat alfaaz. waaaaaaaaaaaah kyaa kahne ustaade mohtaram.

    ReplyDelete
  2. Wah.......Sahir Ludhianvi ki nazm ko radd kar diya aap ne.....shayari, shayari meiN.....kya baat hai.......razdan 'raaz'

    ReplyDelete