Friday 11 July 2014

NAZM --MA A--1

ZAMEE'N BANAEE HAI JISNE FALAK BANAYA HAI,
KE MEHR-O-MAAH KI TAKHLEEQ JISNE KI YAARO,
WO CHHUP KE BAITH GAYA MAA KE AIK PARDE MAIN.
SALAAM USPE KE JO MAA HAI SAARE AALAM KI.
HAI JISKI KOKH SE TAKHLEEQ NASL-E-ADAM KI.
KHUDA KI ZAAT NE KHALIQ JISE BANAYA HAI.
USI NE QAUM KE PAIGHAMBARON KO JANM DIYA
USI SE DEEN HAI IMAAN AUR MAZHAB HAI,
USI KE FAIZ SE SARA JAHA'N MUHAZZAB HAI.
USI KI ZULF KA SAAYA HAI AASMA'N KI TARAH,
WAHI HAI CHHAUN KADI DHOOP MAIN DARAKHTON KI,
HAR AIK QAUM PANAPTI HAI USKE SAAYE MAIN.
HAR AIK MULK CHAHAKTA JAWAAN HOTA HAI.
USI KI GOD MAIN SARA JAHAN SOTA HAI.

KABHI JO MEETHE SURON MAIN WO GUNGUNATI HAI.
SUROOR-O-KAIF BIKHARTA HAI SAARE AALAM MAIN.
SAMUNDARON KE TALATUM THAHARNE LAGTE HAIN.
KE THAMNE LAGTI HAIN MAUJEN HAR AIK DARIYA KI.
KE AABSHAAR BHI MASTI MAIN GUNGUNAATE HAIN.
HAR AIK DAAL PE PANCHHI BHI JHOOM UTHTE HAIN.
HAWAYEN USKI SADA MAIN SADA MILATI HAIN.
FIZAYEN LORIYAN US MAA KE SAATH GAATI HAIN.
KE USKE BACHCHE KO QUDRAT SULANE AATI HAI..

LABON PE USKE TARANE HAIN ZINDGANI KE,
ZABA'N SE PYAAR KA AMRIT BARASTA RAHTA HAI.
NAZAR MAIN MEHR-O-MUHABBAT KE CHAAND TARE HAIN.
JABI'N HAI JAISE KE AZMAT KA AAFTAB KOEE,
JAHA'N KA HUSN HAI PINHA'N USI KI SOORAT MAIN,
CHHUPA HUWA HAI KHUDA MAA KI ASL MOORAT MAIN.

WO MAA KE MAAMTA JISKI NA KOEE TOL SAKA.
KOEE BHI USKI TARAH PYAR SE NA BOL SAKA.
HAR AIK DARD JO SAHTI HAI DUKH UTHATI HAI.
MITA KE KHUD KO JO AULAD KO BANATI HAI.
KISIKE PASS YE EESAR YE WAFA HI NAHIN,
JO MAA KE PAAS HAI AURON MAIN WO ADA HI NAHIN.
ISILIYE TO JAHA' MAIN AZEEMTAR MAA HAI.
KHUDA KE BAAD IBADAT KA AIK DAR MAA HAI.
MERA YAQEEN HAI JANNAT HAI MAA KE QADMON MAIN.
KHUDA KI SAARI INAYAT HAI MAA KE QADMON MAIN.

1 comment:

  1. Wah...wah....wah.....lajawab nazm hai......aap ki soch aur tarz-e-bayaN dono qabil-e-daad haiN

    razdan 'raaz'

    ReplyDelete