Sunday 18 January 2015

== GHAZAL===IBRAHIM ASHK==
Sada-e-dard-e-wafa jab se aam hone lagi
khmoshi saare buton ki salaam hone lagi
mire junu'n ki yahi inteha hai duniya main
Ke daastaan-e-situm neknaam hone lagi
Talaash-e-yaar main rahti hain raat-din aankhen
Isi safar main sahar aur shaam hone lagi
Ajeeb lutf saa aaya hai kya bataun main
Ye zindgi jo miri tashna-kaam hone lagi
Ye kaynaat ki daulat bhi kam padi yaaro
Agar ye meri muhabbat ka daam hone lagi
Tiri nigaah se peene main wo mazaa aaya
Sharab khuld ki mujh par haraam hone lagi
Nahin hai ab to zaroorat kisi bhi qaasid ki
Ke jab se baad-e-saba humkalaam hone lagi
Kahani ishq ki yun to hai mukhtasar lekin
Jahan ph chhooti wahin naatamaam hone lagi
Na khush huwe hain parastaar 'Meer' w 'Ghalib' ke
Ghazal jo 'ashk' hamaari imaam hone lagi

No comments:

Post a Comment