Thursday 15 January 2015

TAMAM AALAM-E-HASTI,,,,,

==GHAZAL==IBRAHIM ASHK

Tamaam aalam-e--hasti main inquilaab saa haiMizaaj-e-yaar magar Aaj bhi kharaab saa haiMisaal-e-shaakh-e-gu-l-e-tar hai tan badan uskaPhir uspe jaise ke chehra koee gulaab saa haiUse to pahli nazar hi main chun liyaa sab neSarapa uska hazaaron main intekhaab saa haiPadhen jo usko to poori tarah na padh paayenWo aasmaan se utri huee kitaab saa haiAjeeb uska hai kirdaar kya kahen uskoKabhi lage wo haqeeqat kabhi wo khwaab saa haiUse qareeb se dekhen to pyaas badhti haiMagar wo daria nahin hai, koeee saraab saa haiHar ik nigaah use saaf dekh leti haiWo sau Naqaab main ho phir bhi Benaqaab saa hai.Koee bataye use kis tarah pukaren hum,Hai din main mehr wo raton main maahtaab saa hai.Misaal uski bataayen to kya batayen hum,Jawab uska nahin wo to laajawaab saa hai

No comments:

Post a Comment